Monday 25 January 2021

Lae Bekadran Naal Yaari

 Lae Bekadran Naal Yaari

Dukh non bhulana pay gya

Wednesday 6 January 2021

Kabhi loot k ao gae

 Har martaba loot jatay ho

Kabhi to loot aogay

meri tarhan tum tarpartay ho

kabhi tu loot aogay

hum idhar hi bhatak rahy hain

kabhi tu loot aogay

aa bhi jao tum kahan ho

Jay kabhi to loot ao gay

Monday 9 February 2015

Ab aur kya kisi se marasim burha'ein hum...


Ab aur kya kisi se marasim burha'ein hum

Yeh bhi boht hai, tujhe bhool ja'ein hum

Sehra.e.zindagi mein koyee dosra na tha

Sunte rahe hein aap hi apni sada'ein hum

Iss zindagi mein itni fraghat kise naseeb

Itna na yaad aa ke tujhe bhool ja'ein hum

Tu itni dil zada tao na thi ai shub.e.firaq

Aa tere raaste mein sitare lota'ein hum

Woh log ab kahan hein jo kehte they kal Faraz

Heh heh khuda na karda tujhe bhi rula'ein hum

Aas laga'ay rukhna...


Kaun aata hai magar aas laga'ay rukhna

umr bhar dard ki shuma'on ko jala'ay rukhna

Dost pursish peh mosr aur hamara shaiwa

Apne ahwaal ko khudh se bhi chupa'ay rukhna

Oos ki chuka chaund mein aankhen bhi gunwaa baidho gay

Oos ke hoote huay pulkoon ko jhuka'ay rukhna 

Runjish hi sahi, dil hi dokhanay ke liye aa....


Runjish hi sahi, dil hi dokhanay ke liye aa

Aa phir se mujhe chor ke jaanay ke liye aa

kuch tau meray pindar.e.mohabbat ka bharam rukh

Tu bhi tau kabhi mujh ko mananay ke liye aa

Pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi  tau

Rusm.o.rak.e dunya hi nibhanay ke liye aa

Kis kis ko bataein gay joda'yee ka sabab hum

Tu mujh se khafa hai tau Zamanay ke liye aa

Ik umr se hoon lazat.e.giryaa se bhi mehroom

Ai rahat.e.jaan mujh ko rulanay ke liye  aa

Ab tuk dil.e.khush feham ko tujh se hein umidein

Yeh aakhari shumein bhi bujhanay ke liye aa

"Bohat yaad aai"


Teri Aankhon k ishaaron ki both yaad aai

Aaj pat.jharr mein bahaaron ki boht yaad aai

Jab larrkhrraata hua nikla kabhi mukhany sy

Teri baahon k sahaaron ki boht yaad aai

Jab bhi haathon sy mainy poonchy hain aanus apny

Tery daaman k kinaaron ki boht yaad aai

Aaj is ujrry hoey shehr mein hum ko

Apny bichrry hoey yaaron ki both yaad aai...

"Kabhi yaad aaye to poochna"


Kabhi yaad aaye  to poochna

Zara apni khalwat.e.shaam sey

Kisey ishq tha teri zaat sey?

Kisey pyay tha tere naam sey?

Zara yaad kar, k woh kon tha?

Jo kabhi tujhey bhi aziz tha

Wo jo jee utha tere naam sey

Wo jo mar mita tere naam pey

Humein berukhi ka nai gilla,

K yehi wafaon ka hey sila

Magar aisa jurm tha konsa?

Gaye hum dua.o.salam sey

Na kabhi visaal ki chaah ki,

Na kabhi firaaq mein aah ki,

K mera treeqa.e.bndagi,

He juda treeqa.e.aam sey.....