Wednesday, 31 December 2014

Wo Meri Qasam Leta nhi ilzam samajh kr...

  "Wo meri Qasam leta nhi ilzaam samajh kr"

   Or dey deta hy apni qasam inaam samaj kr

   Wo janta hy mujh us sy kitni mohabbat hy

   Phir b guftogu krta hy anjaan sumjh kr

   Me ny usy apny dil ki dharkan me basaya hy!

   Or wo rakhtahy Dil me mehmaan samaj kr

   Agr usy ham sy mohabbat nhi to na sahi

   Magar hum to mohabbat karte hain apni

                   Jan Smaj kar...

Ik Umar Talak Ashk Fishani Men Raha Hy.....

   Ik umar talak Ashk fishani men raha hy,,,

   Aye ishq Tera dard Rawaani men raha hy,,,

   Ye chhor, Mere saath kabhi tha k nahi tha,,,

   Wo shakhs mgr meri kahani men raha hy,,,

   Ik hijr tere baad Rag.e.jaan man utar kar,,,

   Taa.umar phir Alfaz.o.ma'ani men raha hy,,,

   Sehra se tere dil ki guzar gaah talak,,,

   Dil roz nayi naql makani men raha hy,,,

   Wo saath nahi  mere mgr sach hy ye,,,

   Wo shakhs meri Ankh k pani men raha hy.....

"MUJH KO PYAR KARNA SIKHAYA US NE"

     Merey Dil se Dil ko milaya us ne

     Mujh ko pyar karna sikhaya us ne,,

     Hum To hogye they  Deewaney pyar main,,

     Ye bhi mujhey khud bataya us ne,,,

      Youn to wo mera ban gaya tha phir bhi kami thi,,,

      Kabhi kabhi ghairon se mill k sataya us ne,,,

      Hamesha Sath Rehney ka Waada tha lekin,,

      Toot'ta hai Wada kese ye bhi kr Dekaya us ne,,

      Main ne bohat Roka magar wo chala hi gaya,,

      Kabhi na Roney wali Aankh ko Rulaya us ne,,,

      Takleef zara na huei or Hum Qatal bhi hogye,,

      Kis kamal se khanjar chalaya us ne.......

Top 5

Aazmaty hain log sabar mera....

Baar Baat Zikar Tumhra kat ke....

         _____________________________

           Nazar NazAr ka farg hota hai

           Husan ka nahi,,,

         Mehboob jis kabhi ho

         Be.Misaal hota hai...

           _______________________________

       Tasalli zara c ho jaye gi

       Faqat itna bata do na

        Mujhe jo Hichkiyan aati hain

       Kya tum yaad karty ho....

          _________________________________

         Ye b acha hoova k Usy hum hasil na kar saky hum

          Agar hamara hoo kar bichrta to Qayamat hooti....

         _________________________________________

   Hum Tumhen keh na sake

  Aaj Wazahat se iqrar karte hain

  Jisy tum roz dekhte ho aaine main

  Usy hum bohat pyar karte hain...

    ________________________________

"AJNABI SHRHER KE AJNABI RASTY"

   

        Ajnabi Shehar ke Ajnabi Rasty,,,,

        Meri Tanhai Par muskraty Rahy,,,

        Me Bhot Dair Tak yonhi Chalta Raha,,

        Tum Bhot Dair Tak yad aaty Rahy,,,

        Zehar milta Raha Zehar Peety Rahy,,,

         Roz Marty Rahy,,,

          Roz jety Rahy,,,

          Zindagi Bhi Hamen Aazmati Rahi,,,

          Or Hum bhi isy Aazmaty Rahy,,,

           Zakham Jab Bhi koi Zehan.o.Dil Par Laga...

           Zindagi ki Taraf  Ek Daricha Khula,,,

          Ham Bhi Goya kisi Saaz ke Tar hen,,,

          Chot Khaty Rahy Gungnaty Rahy


             AJNABI SHEHER KE AJNABI RASTY...

Apny Ahsas Se Chu kR Mujhe Sundal kar Do...

Apny Ahsas se chu kar mujhe sundal kar Do

Main sadiyon se idhoora ho mujhe mukamal kar Do

Na tumhe hoosh Raha Na mujhe hooshRaha

Iss Qader Toot ker Chaho ki Mujhay Pagal kar Do

Tum Hathali ko mara Pyaar ki Mehndi say Rana Do

Apni Ankhon Main mara Naam ka kajal kar Do

Dhoop hi Dhoop hon main Iss tarah Too kar Bersoo mujh per

Main to Sehra ho Mujhay pyaar ka Badal kar Do

iss k Saya Main mara khawab Mahek jayin ga

Mare Chehray per Umeddon ka Abchal kar  Do

Apne Hanton ki moher lagaoo mujh per

Ek Nazer Pyaar say Deakho Mujhay Ghayal kar Do


KOI TO HOTA

          Koi To Hota....

Mai jis k dil ki kitaab benta

mai jis ki chahet ka khawab benta

Mai hijh k mosam ki lembi raaton mein

    Yaad ben ker azaab benta

        Koi To Hota...

Jo meri Khawahish mein uthh ker raaton ko khoob

                  Rota

Dukhon ki chadet lapeti ket hajoom.e.dunya se door

                  Hota

Mai rooth jata manata mujh ko

k chahe mera khsoor hota

               Koi To Hota

Mai jis k itna kareeb hota

Na paas koi rakeeb hota

Mai itna uus ka habeeb hota

Ye silsila bhi ajeeb hota

                Koi To Hota