Monday 9 February 2015

Ab aur kya kisi se marasim burha'ein hum...


Ab aur kya kisi se marasim burha'ein hum

Yeh bhi boht hai, tujhe bhool ja'ein hum

Sehra.e.zindagi mein koyee dosra na tha

Sunte rahe hein aap hi apni sada'ein hum

Iss zindagi mein itni fraghat kise naseeb

Itna na yaad aa ke tujhe bhool ja'ein hum

Tu itni dil zada tao na thi ai shub.e.firaq

Aa tere raaste mein sitare lota'ein hum

Woh log ab kahan hein jo kehte they kal Faraz

Heh heh khuda na karda tujhe bhi rula'ein hum

Aas laga'ay rukhna...


Kaun aata hai magar aas laga'ay rukhna

umr bhar dard ki shuma'on ko jala'ay rukhna

Dost pursish peh mosr aur hamara shaiwa

Apne ahwaal ko khudh se bhi chupa'ay rukhna

Oos ki chuka chaund mein aankhen bhi gunwaa baidho gay

Oos ke hoote huay pulkoon ko jhuka'ay rukhna 

Runjish hi sahi, dil hi dokhanay ke liye aa....


Runjish hi sahi, dil hi dokhanay ke liye aa

Aa phir se mujhe chor ke jaanay ke liye aa

kuch tau meray pindar.e.mohabbat ka bharam rukh

Tu bhi tau kabhi mujh ko mananay ke liye aa

Pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi  tau

Rusm.o.rak.e dunya hi nibhanay ke liye aa

Kis kis ko bataein gay joda'yee ka sabab hum

Tu mujh se khafa hai tau Zamanay ke liye aa

Ik umr se hoon lazat.e.giryaa se bhi mehroom

Ai rahat.e.jaan mujh ko rulanay ke liye  aa

Ab tuk dil.e.khush feham ko tujh se hein umidein

Yeh aakhari shumein bhi bujhanay ke liye aa

"Bohat yaad aai"


Teri Aankhon k ishaaron ki both yaad aai

Aaj pat.jharr mein bahaaron ki boht yaad aai

Jab larrkhrraata hua nikla kabhi mukhany sy

Teri baahon k sahaaron ki boht yaad aai

Jab bhi haathon sy mainy poonchy hain aanus apny

Tery daaman k kinaaron ki boht yaad aai

Aaj is ujrry hoey shehr mein hum ko

Apny bichrry hoey yaaron ki both yaad aai...

"Kabhi yaad aaye to poochna"


Kabhi yaad aaye  to poochna

Zara apni khalwat.e.shaam sey

Kisey ishq tha teri zaat sey?

Kisey pyay tha tere naam sey?

Zara yaad kar, k woh kon tha?

Jo kabhi tujhey bhi aziz tha

Wo jo jee utha tere naam sey

Wo jo mar mita tere naam pey

Humein berukhi ka nai gilla,

K yehi wafaon ka hey sila

Magar aisa jurm tha konsa?

Gaye hum dua.o.salam sey

Na kabhi visaal ki chaah ki,

Na kabhi firaaq mein aah ki,

K mera treeqa.e.bndagi,

He juda treeqa.e.aam sey.....


"Kabhi jo loat kar aao"


"Kabhi jo loat kar aao"

 Mujhe bus itna samjao

 Kahan se seekh li tum ne

 Ada mujh ko bhulany ki

 Tumhen mujh se shikwa the

 Ya koi b shikayat thi

Zehmat to zara c the

Na koshish ki batany ki

Bhala yun chor kar apna

Koi apnon ko jata hai

Musalsal dukh ki barish mei

Jewan bhar rulata hy

Abhi b rait geeli hy

Abhi sub naqsh baqi hain

Gaey qadmon pe loat aao

Mujhe bas itna samjhao

Kahan se seekh li

Tum ne ada mujh ko bhulany ki........

Saturday 7 February 2015

Khud apne liye baith k sochenge kisi din


Khud apne liye baith k sochenge kisi din

Yun hai k tujhe bhul k dekhenge kisi din

Bhatake hue ohirte hain kai lafz jo dil main

Duniya ne diya waqt to likkhenge kisi din

Hil jayenge ik bar to arshon k dar.o.bam

Ye khaknashin log bolenge kisi din

Apas ki kisi bat ka milta hi nahi vaqt

Har bat te kahae hain k baithenge kisi din

Aj jan teri yad k be.nam parinde shakhon pe

mere dard ki utrenge kisi din

Jati hai kisi jhil ki gahrai kahan tak

Ankhon main teri dub k dekhenge kisi din

Khushbu se bhari sham main jugnu k qalam se

Ik nazm tere vaste likkhenge kisi din

Soyenge teri ankh ki khlvat main kisi rat

Saya main teri zulf k jagenge kisi din

Khushbu ki tarah, Asl.e.saba khak numa se

Galiyon se tere shahar ki guzrenge kisi din

Hai yahi ab k kafan bandh k sar se

Us shahar.e.sitamgar main jayenge kisi din

Uss nay mujh say kaha merey saathi....


Uss nay mujh say kaha merey saathi,,,

Tum ko mujh say jo hay gilah kiya hay??

Kabhi fursat milay tou yeh socho

Manzilen kiyun hain? Faslaj kiya hay?

Apnay apnay safar per niklay log

Mushtarik raastoon peh chaltay hain

Hamrahi kay hisaar main jitnay

Din nikaltay, chiragh jaltay hain

Apni apni ummid kay dar.o.baam

Zindagi kay safar main miltay hain

Mustaqil dard, aarzi aaraam

Tum meray hamsafar tou ho likin

Hum kahin say bichar bhi saktay hain

Dair tak aik taveel rastay per

Saath tou ajnabi bhi chaltay hain

"Shamma ghazal ki lau ban jaye"


Shamma ghazal ki lau ban jaye

Aaisa misra ho kaho ik ik harf

Main soch ki khushbu,

Dil ka ujala ho to kaho

Raz.e mohabbat kehne walay log to

lakhon miltay hain raz.e mohabbat rakhne wala

Hum sa daikha, Ho to kaho kon gawahi dega

Tumko jhuton ki iss basti main

Sach ki qeemat day sakne

ka tum main yara ho to kaho

Waisy to her shakhs ke dil main

Aik kahani hoti hai, hijer aur lawa,

Ghum ka saleeqa dard ka lehja,

Ho to kaho amjad sahib

Aap ne bhi duniya ghoom k dakhi hai

Aisi aankhain hain to batao,

Aisa chehra, ho to kaho....


Mohabbat Tor sakti hai


Mohabbat Tor sakti hai

Koi zanjeer ho usko mohabbat  torr sakti hai

Jidhar chahe ye bagein zindagi ki morr sakti hai

Mohabbat roak sakti hai kisi girtey sitarey ko

Kisi jaltey shararey ko, Fana kay shuaarey ko

Ye chalna choor aaenay ki krichein jorr sakti hai

Koi zanjeer ho, Usko mohabbat torr sakti hai

Mohabbat per kisi bhi rasm ka pehra nahin chalta

Kisi aamr, Kisi sultan ka sikka nahin chalta

Ye har zandaan ki aandhi salakhein torr sakti hai

Koi zanjeer ho usko mohabbat torr sakti hai

Ye jab chahe kisi bhi khwab ki tabeer mil jaye

Kisi rastey mein raasta poochti, Taqdeer mil jaye

Samey kay taiz dharoon ko ye pichey chorr sakti hai

Koi zanjeer ho  usko mohabbat torr sakti hai

Thursday 5 February 2015

"Dil me chahatein baqi hain"


Aaj bhi ek teray liye

Dil me chahatein baqi hain.

Tujhse jo karni thee

Woh adhuri baatein baqi hain

Tum ne kaise soch liya k

Hamein teri talab nahi

Dil mein utar k deikh ab bhi

Teri hajatein baqi hain

Kabhi fursat milay to

Aa kar deikh mere makaan mein

Aaj bhi teri khusbhu, teri parchhai,

Teri aahatein baqi hain

Dekh mera zarf k main

Toot kar bhi bikhra nahi

Aankh mein aansu hain

Magar lab per muskurahatein baqi hain.....

Tuesday 3 February 2015

"Tere aks dil k Qareeb ty"


Tere aks dil k Qareeb ty,

Teri yad jan se aziz'tr,

Tera dard sb se hai motbar

Kabhi loat aao jo ho skey

Tere bin soona hy ye nagar

Mere hum'nasheen,

Mere humsafar,

Teri Dosti hai azeem'tr

Tujhe duaen itni mein de sakoon

Koi de sakey na umar bhar......

"Zinadgi bhr ik kitab likhon ga "


"Zindgi bhr ik kitab likhon ga"

Main us mein wo saray hisab likhon ga

Pyar ko waqt guzari likh kar

Chahton ko sirf azaab likhon ga

Hoi barbad meri mohabbat kesay

Kesay bikhray hain meray khawab likhon ga

Khud ko kisi titli ka roop day kar

Us ka chrhra gulaab likon ga

Us ko ilzaam.e.bewafai na don ga

Bus apni hi Qismat kharab likhon ga

Sunday 1 February 2015

"Tere gumnam ager naam kmanay lag jayen "


Tere gumnam ager naam kmanay lag jayen

Sharf o shewa Tasleem thikanay lag jayen

Jis Trah noor se payda hain jahane ishiya

Ik nazar dal ker hum bhi nazar anay lag jayen

Ye bhi mumkin hai koi roknay wala he na ho

Ye b mumkin hai yaha muj ko zamanay lag jayen

Dekh ay husney frawan ye bhi mumkin hai

Mera del tak na lagay tere khazanay lag jayen

Jin k honay se hai mashrot hamara hona

Apnay honay ka na ahsas dilanay lag jayen

To mohabbat ki gharz lamha mojood main rakh

Tere zimay na mere dard poranay lag jayen

Ye mohbbat na kahen rad e amal ban jayen

Hum tere bad na koi zulm dhanay lag jayen

Kar e duniya  bhi ajab hai k meray ghar walay

Din niklatay he meri khabar manany lag jayen

Pass he doob rahi hai koi kashti

Khod nahi bachti ager is ko bachanay lag jayen. ..

Yar k ghum ko ajab nakash giri ati hai. ....


Yar k ghum ko ajab nakash giri ati hai

Por por ankh ni manid phari ati hai

Bay Taluq na hamain jan k hum jantain hain

Kitna kuch jaan k ye bay khabri ati hai

Is Qadar gundna perti hai laho se mati

Hath ghul jatain hain to koza giri ati hai

Kitna rakhtay hai wo is shahary khamosha ka khayal

Roz ik nao gulabo se bhari ati hai

Zindgi kese bus ho gai k hum ko tabish

Sabar ata hai na ashfta sari ati hai

"Wo Rooz qarz smaj ker utarta hai mujay "


Wo bholta hai na dil main utarta hai mujay

Hamaisha mar mohabbat ki marta hai mujay

Main us ka lamha mujod hun magar wo shakhas

Fazol waqat smaj ker guzarta hai mujay

Bazahar aysa nahi pairh is hawayli ka

Hawa chalay to buhat phol marta hai mujay

Main is k hath main jata hon malo zer ki trah

Wo rooz qarz smaj ker utarta hai mujay 

pehil baarish ka nasha hi. ...


Pehil baarish ka nasha hi

Kuch alag hota hain,,

Palko ko chhute hi

Sidha dil pe asar hota hain,,

Mekha Mekha  saawan ajj

Iss dil ko behka raha hain,,,

Gumsum si nazro ko aaj

Ye pyar karna sikha raha hain. ....

"Kahe na Paayen hum, Kahe na pao tum "


Yaadoon  mein har pal rahti ho Tum,

Kabhi na dil mein khayal ho tera kam,

Tamanna hai yeh dilki mere,,

Ki tujhe kabhi chaahun na kam,,

Bayaan karun jou hai dil mein mere,,

Kahe na chaahen tum,

Kahe na chaaho tum,,

Par bayaan karen tau hum kaise karen,,

Dilse hothon tak aaye par,,

Kahe na paayen hum,

Kahe na pao tum,.....

Kaun aayega yahan. ....


 Kaun aayega yahan?

 Na koi aaya hoga..

 Mera darwaza hawaon

 Na hilaya hoga

 Dil.e.nadan na dhadak

koi khat leke padosi ke

 Ghar aaya hoga

Gul se lipti hui titali ko

 Gira kar dekho

 Aandhiyon tumne darakhto

 Ko to giraya hoga

Aye sanam, pardas mei mat

 Yaad karo apna makan

 Abke barisho ne use tod giraya hoga.....

Baba Farid.....


Na ghareeb nu vekh he hasiya kar,

Na buri nazar nal takiya kar,

Lokan day aib tu labda farida,

Kadi apnay ander v takiya kar....