Wednesday 31 December 2014

Wo Meri Qasam Leta nhi ilzam samajh kr...

  "Wo meri Qasam leta nhi ilzaam samajh kr"

   Or dey deta hy apni qasam inaam samaj kr

   Wo janta hy mujh us sy kitni mohabbat hy

   Phir b guftogu krta hy anjaan sumjh kr

   Me ny usy apny dil ki dharkan me basaya hy!

   Or wo rakhtahy Dil me mehmaan samaj kr

   Agr usy ham sy mohabbat nhi to na sahi

   Magar hum to mohabbat karte hain apni

                   Jan Smaj kar...

Ik Umar Talak Ashk Fishani Men Raha Hy.....

   Ik umar talak Ashk fishani men raha hy,,,

   Aye ishq Tera dard Rawaani men raha hy,,,

   Ye chhor, Mere saath kabhi tha k nahi tha,,,

   Wo shakhs mgr meri kahani men raha hy,,,

   Ik hijr tere baad Rag.e.jaan man utar kar,,,

   Taa.umar phir Alfaz.o.ma'ani men raha hy,,,

   Sehra se tere dil ki guzar gaah talak,,,

   Dil roz nayi naql makani men raha hy,,,

   Wo saath nahi  mere mgr sach hy ye,,,

   Wo shakhs meri Ankh k pani men raha hy.....

"MUJH KO PYAR KARNA SIKHAYA US NE"

     Merey Dil se Dil ko milaya us ne

     Mujh ko pyar karna sikhaya us ne,,

     Hum To hogye they  Deewaney pyar main,,

     Ye bhi mujhey khud bataya us ne,,,

      Youn to wo mera ban gaya tha phir bhi kami thi,,,

      Kabhi kabhi ghairon se mill k sataya us ne,,,

      Hamesha Sath Rehney ka Waada tha lekin,,

      Toot'ta hai Wada kese ye bhi kr Dekaya us ne,,

      Main ne bohat Roka magar wo chala hi gaya,,

      Kabhi na Roney wali Aankh ko Rulaya us ne,,,

      Takleef zara na huei or Hum Qatal bhi hogye,,

      Kis kamal se khanjar chalaya us ne.......

Top 5

Aazmaty hain log sabar mera....

Baar Baat Zikar Tumhra kat ke....

         _____________________________

           Nazar NazAr ka farg hota hai

           Husan ka nahi,,,

         Mehboob jis kabhi ho

         Be.Misaal hota hai...

           _______________________________

       Tasalli zara c ho jaye gi

       Faqat itna bata do na

        Mujhe jo Hichkiyan aati hain

       Kya tum yaad karty ho....

          _________________________________

         Ye b acha hoova k Usy hum hasil na kar saky hum

          Agar hamara hoo kar bichrta to Qayamat hooti....

         _________________________________________

   Hum Tumhen keh na sake

  Aaj Wazahat se iqrar karte hain

  Jisy tum roz dekhte ho aaine main

  Usy hum bohat pyar karte hain...

    ________________________________

"AJNABI SHRHER KE AJNABI RASTY"

   

        Ajnabi Shehar ke Ajnabi Rasty,,,,

        Meri Tanhai Par muskraty Rahy,,,

        Me Bhot Dair Tak yonhi Chalta Raha,,

        Tum Bhot Dair Tak yad aaty Rahy,,,

        Zehar milta Raha Zehar Peety Rahy,,,

         Roz Marty Rahy,,,

          Roz jety Rahy,,,

          Zindagi Bhi Hamen Aazmati Rahi,,,

          Or Hum bhi isy Aazmaty Rahy,,,

           Zakham Jab Bhi koi Zehan.o.Dil Par Laga...

           Zindagi ki Taraf  Ek Daricha Khula,,,

          Ham Bhi Goya kisi Saaz ke Tar hen,,,

          Chot Khaty Rahy Gungnaty Rahy


             AJNABI SHEHER KE AJNABI RASTY...

Apny Ahsas Se Chu kR Mujhe Sundal kar Do...

Apny Ahsas se chu kar mujhe sundal kar Do

Main sadiyon se idhoora ho mujhe mukamal kar Do

Na tumhe hoosh Raha Na mujhe hooshRaha

Iss Qader Toot ker Chaho ki Mujhay Pagal kar Do

Tum Hathali ko mara Pyaar ki Mehndi say Rana Do

Apni Ankhon Main mara Naam ka kajal kar Do

Dhoop hi Dhoop hon main Iss tarah Too kar Bersoo mujh per

Main to Sehra ho Mujhay pyaar ka Badal kar Do

iss k Saya Main mara khawab Mahek jayin ga

Mare Chehray per Umeddon ka Abchal kar  Do

Apne Hanton ki moher lagaoo mujh per

Ek Nazer Pyaar say Deakho Mujhay Ghayal kar Do


KOI TO HOTA

          Koi To Hota....

Mai jis k dil ki kitaab benta

mai jis ki chahet ka khawab benta

Mai hijh k mosam ki lembi raaton mein

    Yaad ben ker azaab benta

        Koi To Hota...

Jo meri Khawahish mein uthh ker raaton ko khoob

                  Rota

Dukhon ki chadet lapeti ket hajoom.e.dunya se door

                  Hota

Mai rooth jata manata mujh ko

k chahe mera khsoor hota

               Koi To Hota

Mai jis k itna kareeb hota

Na paas koi rakeeb hota

Mai itna uus ka habeeb hota

Ye silsila bhi ajeeb hota

                Koi To Hota

"UDAAS MOSAM"

Kaash!!!!!

       Kisi Udas Mosam main,

       Humari Ankhon pey

       Wo hath Rakh de Apne

       Or Hanste houe keh de...

       Bojh lo to hum Tumhate...

        Na bojho to Tum Hamare.....

Kuch RAAZ MOHABBAT KE...

Kaghaz pe nahi likhte,,

Kuch RAAZ Mohabbat ke!

Pal Bhar me Bikhar hate hai,,

Alfaaz Mohabbat ke,,

Use Toot kar Chaaha to

Hum khud hi bikhar gaye

Aise bhi badal jaate hain,,

Andaz mohabbat ke.....

"Teri Khatir Kya kya Likha"

Teri khatir kya kya likha

Jo kuch mein ne dekha, likha

Teri surat sher mein dhali

Mein ne jo bhi sucha, likha

Phoolon aur kanton ko likh kar

Khushbo ko bhi khoja, likha

Us ki sari batein mane

Us ne jo bhi bola, likha.....

Mera Saawan Bhi Tum Ho

Mera saawan bhi tum ho

Meri pyaas bhi tum ho

Sehra ki Baahon mein chupi Aas bhi tum ho

Tum yun to Bohat door bohat door ho mujh sy

Ehsaas ye hota hy Mery paas bhi tum ho

Har Zakham ki Aaghosh mein hy Dard

Tnhara har Dard me Taskeen ka Ehsas b Tum ho

Kho jao to Veeran si jo jati hain Rahein

Mil jao to Phir jeeny ka Ehasa b Tum ho

Likhti hon to Tum hi utarty ho Qalam sy Parhti

Hon to lehja b Tum Aawaz b Tum ho.....

Tuesday 30 December 2014

BAARISHO'N K MAUSAM MAIN

Yaadai'n jaag jati hyu

Barisho'n k mausam  main

Har ghari satati hyu

Barisho'n k mausam main

Shaambhi kisi surat

Chain se nahi kat'ti

Subhai'n bhi satati hyn

Barisho'n k mausam main

Zehen k jharokey main

jab koi sada ubhrey

Aankhai'n bheeg jati hyn

Baarisho'n mausam main

""kAHUN K KIA HO TUM"

"Kahun k kia honTum.....?

Mere liye meri duniya ho Tum,,

Chor k jo guzre wo hawa ho Tum,,

Maine jo mangi wo Dua ho Tum,,

Kya maine mehsos wo Ehsas ho Tum,,

Meri nazar ki Talash ho Tum,,

Meri Zindagi ka Qarar ho Tum,,

Main nay jo caha wo payar ho Tum,,

Mere intzar ki rahat ho Tum,,

Mere dil ki chahat ho Tum,,

Tum ho to dunya hay Meri,,

kasay kahun k sirf pyar nahin,,

Meri Jaan ho Tum,,.


Meri pasand

Wo Jawab.talab hai mujh se...

Main usy bhool to nai jaun ga??

Jawab kia me dun usko

Sawal hi paida nahi hota.....

               ___________________

Ilzam e awargi k dar se

Chor dia sb se milna

Warna ye choti si umar

Tanhai k qabil to na thi

             ________________________

Kare koi yad to hm bhi use

Yad kar liya karte hain

Baqi ab hamari adat  nhi rhi

Beparwahon ko tang karny ki

              ___________________________

Top 3

Zehar tha zindagi k kozay main

Janty thy magar nigalty rahy..

            ____________________

Be samajh hi rehty tu theek tha

Ulijhanaain barh gai hain

Jb se smjhdar huy hain...

          _______________________

Tum saans ho ba'silsla.e.taa ajal

Tujhy lety rahain gey jeetey rahain gey

           _______________________________

Ishq

Ishq ko bhi ishq ho

tu phir main dakihun ishq ko

kesy tarpy, kasy roay,

ishq apny ishq main...

Yaadin

Bhol jany ki saza dena hum ko bhi aati hai,,,


Par tum takleef  se guzro ye hum ko gawara nahi...

               ______________________________

Us ny bary guroor sy bolaa

Tum jesy both milain gyn...

Hum ny  muskura k kaha

Hum jesy he ki talash  q????

                 __________________________________


Seekh loo kissi ki chahat ki qadr karn

kahin koi mar na jaye tmhn yad  krty krty...

                 _____________________________________

Sawal..

Tumhare uddas rehne se

Sari dunya he weran lagti hai


Khush raha karo

kisi ki zindagi ka sawal hai...

Juda Hone ke Mosam Me Juda Hona Bi parta Hai...

Juda hone ke mosam me juda hona bi parta hai...

Jisse mushkil se paya ho usey khona bi parta hai....

Khudi pe maan itna hai kabhi murr kar nahi dekha...

Jissy keh dun ke mera hai usey hona bi parta hai...

Mujhe neend nhi aati un ki yaad aane ke baad...

Magar ek khawab ke lalach me phir sona bi parta hai...

Hamesha hansta rehta hun chupa ke gham mohabbat ke...

Magar

Jab us ka naam aye to mujhe rona bi parta hai...

"JEETON TOH TUJHE PAON HARON TOH PIYA TERI"

Is shart pe khelon gi Piya pyar ki Bazi

Jeeton toh tujhe paon haron toh piya teri


Har lahaz khayal tera rakhon gi siraf itna

Baith jaon toh teri uth jaon toh b teri


Kuch kar longi haal apna aisa main humsafar

Ankh lagey tou b teri ankh khuley tou b teri


Teri har aahat pe paa longi tabeet aisi

Hans jaon toh b teri roth jaon toh b teri

TUMHAIN FARAK NAHI PARTA

Tumhain farak nahi parta....!

Main tum se roth jaon tou,,

Tumhare pas na aaon tou,,

Phir tum se se duurr jaa kar main,

Kabhi wapis na aaon tou,,

Tumhari yaad mein gum sum,,

Kabhi aansu bahaon tou,,

Tumhein fark nahi parta....!

Tumhare piyar mein aksar,,,

Khud ko bhool jaaon tou,,,

Main teri deed mein tanha,,,

Kabhi khud ko mitaon tou,,,

main tumse door reh kar phir,,,

Akele marr bhi jaaon tou,,,

Tumhein fark nahi parta....

Best of best

Ye rimjim, Ye barish, Ye awargi ka mosam,,,

Hum tery shahr mein hoty to tery pas chaly aaty...

                      _________________________

Anna k masla darpesh hy, Warna haqeeqat mein

         Mohsin

Usay meri, mujhy us ki, kami mehsoos hoti hy..

                     ____________________________

Sochty hein seekh len hum be berukhi karna,,,

Mohabbat detey detey hum ne apni qadar kho di

                 __________________________________

Mohabbat kya he do lafzon me, Tumhen hum batate hen

Tera majbor kr dena, Mera majbor ho jana...


                   _______________________________________

Monday 29 December 2014

AAO KE DECEMBER KO RUKHSAT KAREN.....

Aao k December ko rukhsat karen...

Kuch khushiyon ko sambhal kar,,,

Kuch aansuon ko taal kar,,,

Jo lamhe guzre chahton me,,,

Jo pall beete rafakaton me,,,

Kabhi wqt k sath chalte chalte,,,

Jo thek k ruke raston me,,,

Kabhi khushiyon ki umeed mili,,,

Kabhi bichre huon ki deed mili,,,

Kabhi be'panah muskura diye,,,

Kabhi hanste hanste ro diye,,,

In sare lamhon ko mukhtasir kren,,,

Aao k December ko rukhsat kren.....

"SaZzA"

Yun tanhai main khud ko sazza dety hain

naam likhty hain us ka or likh k mitta dety hain

jub bhe koi nakam muhabbat ka zikar kary

log hansty hain mera naam btta dety hain

ab khushi ki koi tarqeeb na sojhay

ab yeh aAlam hay k ghum maza dety hain

kya zarort hay k dety ho khud ko yeh zehmat

lo hum khud hi nasheemaan ko jala dety hain

ab tasli nahi di jati mareez e ghum ko

dekhny waly bhee ab marnay ki dua dety hain.

"us paar zamany kasay hain"

Bol hawa us paar zamany kasay hain???

ujray sher main yaar purany kasay hain???

chaand utrta hay ab kis kis k aAngan main???

kirno say mehroom gharany kasay........hain???

lub basta darwazoo p kya beet      gai????

galion say mansoob fasany kasay hain????

jin k jhurmat main shamian dam tor gai????

wo payary pagal parwany kasay hain???

Mohsin ! Hum to khair khabr say bhe guzray,

apny roothy yaar na jany kasay hain...........????

"""Bikhar jain gaye"""

Haseen raat say niklay toh

                "Bikhar jain gaye"

Hum teri zaat say niklay toh

                  "Bikhar jain gaye"

Bohat adat hay dil ko tery sath chalny ki

yeh hath tery hath say nikly toh

                   "Bikhar jain gaye"

Aik mudat say teri kahani ka unwan rahy hum

Ab is rawayt say niklay toh

                  "Bikhar jain gaye"

Humin din raat soucho tum

Bas itni c khawaish hay

tery khayalat say niklay toh

                    "Bikhar jain gaye"

Sunday 28 December 2014

DECEMBAR

Jo mera hai, Main kisi aur ko kyun Doon???

Main apni Mohabbat mein  bachon ki tarah hoon..

             _______________________________

Kaha tha mery hamdam ney milen gain ab December mei,,

Loat aao k meri tarah December b kuch din k mehman reh geya ha...

              ________________________________

Lout aao k meri sansain

Ab tinka tinka jhulasti hain

kaheen meri jaan ne le le

Ye khamosh raatain December ki...

               _________________________________

End of December

Decembar aj bhe apny asassy sath laya hay

Wohi tewar wo hi afsurdgi or sard sa lehja

           ___________________________________

Thitharti hoi shab.e.siyaah,, wo b taweel tar

Hijr k maaron p Qayaamat hay December

Raton mei nami gham.e.jana,, or us par alam.e.tanhai

Aray "Saqi" daikhna!! Lagta ha December ja raha hay....

           ___________________________________________

Waqt hai jhonka hawa ka,, or hum peelay pattay faqat

Kon jane aglay December, tu kahan or hum kahan...

SUB NE MOJKO CHUP RAKNE KI KOSISH KI...

Sub ne mojko chup rakne ki kosish ki

Jab b maine kuch kehne ki kosish ki

Mai ye samja us ne mojko chaha ha

Us ne mera dil rakne ki kosish ki

Jane mai jo samja hon wo tehek b ha

Jane usne kya kehne ki kosish ki

Mojko ek lamhe ne sari umar rulya

Mai ne jo ek pal hansne ki kosish ki

Wo b mera bd suna ha kb jeya

Mai ne b zinda rehne ki kosish ki

"TUMHARI YAAD HE KAFI HA"

Jo tm mere na hosake to kia...

         Jitan tum nibha gae...

Wo sath he kafi ha...

     Kabhi jo hoti ha tumse...

Wo baat he kafi ha....

      Jo humne sath guzari ...

  Wo barsat hi kafi ha...

     Tumse jo khai maine...

     Wo maat he kafi ha.....

Pas baqi zanagi k liey

      Tumhari yad he kafi ha....

HUMEN TUM BHOOL JAO GE YEH HUM SOCHA NAHI KARTY...

Both khamosh logon se both uljha nahi karty

Jo dil ko rog leg jain wo phr seliha nahi karty

Chalo tum keh rahe ho to Hum aisa nahi karty

Magar dil ab yeh wapis dain yeh hum soda nahi karty

Tumhar dil Tumhara hay bhal tum jis jaga jao

Tasali dil ko yeh di hay k tum dhoka nahi karty

Dilon k mamly hain yeh hum tumhe say payar karty hain

Humen tum bhool jao ge yeh hum socha nahi karty...

"LOG TUFAN UTHA LENGY MERA SATH NA CHAL"

Tu kisi aur ki jageer hy aye jan.e.ghazal

Log tufan utha lengy mere sath na chal

Pehly haq tha teri chahat k chaman per mera

Pehly haq the tere khushlos.e.badan per mera

Ab kisi aur k shano per hy tere Anchal

Log Tufan utha lengy mera sath na Chal

Meri Qismat tere Pyar ki khushbu nahi shayad

Mere Hatho ki lakeero mai nahi tu shayad

Apni Taqdier bana mera muqaddar na badal

Log Tufan utha lengy mera sath na chal...

1 HATH TERA HO, 1 HATH MERA HO...

Ab to dil ye karta hai,,,

       Ek din to esa ho

Sath beth kar Rab se

      Hum dono ye Dua mangain

1 sath jeene ki

      1 Sath marne ki

Zindagi k rasto oar

     Sung sung chalne ki

Aur jab Dua mangain

      Apne meherban Rab se

is tarah Dua mangain

          K

1 Hath tera ho

         1Hath mera ho.....

"CHUPKY CHUPKY"

Wo hatta rahy hain parda

sar e aam chupky chpky

koi qatal ho raha hay

dar e baam chupky chupky

yeh jhuki jhuki nigahin

yeh haseen haseen ieshary

kahee lay na jain shayed

meri jaan chupky chupky

kabhi sokhian dekhana

kabi un ka muskurana

yeh adain kar na dalin

mera kaam chupky chupky

yeh jo hichkian musalsal

mujhy aA rahi hain yaroo

koi lay raha hay shayed

mera naam chupky chupky.

"Kabhi milny chaly ao"

Barri bychain hasti hay

       Kabhi milny chaly ao

mujhy har sans dasti hay

       Kabhi milny chlay ao

barri mudaat hoi tumhay

         Dekha nahi jana!

nigah meri tarsti hay

           Kabhi milny chaly ao

koi lamha nahi guzrta jo

           Teri yadoon say khali ho

meray dil p taras khao

             Kabhi milny chaly ao.

MUJH MAAF KAR DENA.....

Agr mai had se guzar jaon tu maaf kar dena

Tere dil mai utr jaon tu mujh maaf kar dena...

Yuhi ghusy mai a k dant dena tu mari adat hy

Agr mai asa kr jaun to mujh maaf kar dena...

Rasty mai tujy dekh kar tri deed ki khatir

Pal bhr jo tehr jaun to mujh maaf kr dena...

Apne jazbat se likhi hui ye shokh tehreer

Tere naan jo kar jaun to mujh maaf kar dena...

Teri pal bhr ki judai mujh jene nhi deti

Tere bin jo mar jaun to mujh maaf kr dena.....

"AITABAR"

Barson ki chaht ko ik pal main badlte dekha humne

Toot ker chahne walon ko baat se mukarte dekha humne,,,

Naz karty thy jo apni wafaon par,,

Unhi ko bewafai karty dekha humne,,

Kaisy saja lain sapny apni udas ankhon main,,

Har khawab ko toot kar bikharty dekha humne,,

Karty thy jo wada hamesha saath chalny ka,,,

Phir unhi ko rasta badalte dekha humne,,,

Aitabar nahi raha kisi per bhi ab to,,,

Kya karain is aitabar ko kai bar marty dekha humne.....

CHAHA TO BOTH LEKN WO MILA HI NAHI....

Chaha to boht lekn wo mila hi nAhi,,,

Lakh Koshish ki lekin ye fasla mila hi nahi,,,

ic zamaney ne majbur he ic qadar kr dia tha,,,

K Meri kisi sada pe wo thehra hi nahi,,,

Har aik se sabab pucha us k na milney ka,,,

Har aik ne kaha "Wo tere liey bana hi nahi"

Main tamam tar koshish k bawajud ucey har gi.

Or wo ucey mil gaya jis ne ucey manga hai nahi....

Saturday 27 December 2014

HAR BAAR MUJHE ZAKHM JUDAI NA DIYA KR...

Hr baar mujhe zakhm'judai na diya kr,,

Agar tu mera nahi to mujh ko dekhai na diya kr,,,

Sach jhoot teri aankh se ho jata he zahir,,,

Qasmen na utha itni safai na diya kr,,,

Maloom he tu rehta he ab mujh se gurezaan,,,

Paas aa k mohabbat ki duhai na diya kr,,,

Taufeeq nahi aagr tujh ko wada nibhaane ki,,,

oron ko bhi tu dars'e'bhlaai na diya kr,,,

Urr jayen to phir lot k kb aate hen,,

Har baar prindon ko rihai na diya ke.....

Us subhah ki kya bat ho....

Subhah subhah suraj ka sath ho

Aur halki halki barsat ho

Aasman mein udti nanhe parindo ki aawaz ho

Hath mein chy ka cup aur yadon mein

sirf aap ho us haseen subhah ki kya baat ho...

4 alaw share

Dor rehny walo nay asa sila dia

apni hi yadon say hum ko rula dia

itna bhe matlbi ba ho pyar kisi ka

k jab caha yaad kia jab caha bhula dia

_______________________________________

Meri tanhaion ko mera shoq mat samhjna

bohat payr say dia hay yeh tohfa kisi nay

__________________________________________

Yadoon k roop main rehty ho tum sath mery

teray itny say ehsan ka so bar shukirya

____________________________________________

Main iss waja say na keh saka tujhy dil ki baat aj tak

k tu dard e dil say hay by-khabar kahe muskura k na taal dy

"MOHABBAT AAP JAISI HY"

Mujh sb log kehtay hain

Mohabbat jantay ho tum?

Mohabbat mantay ho tum?

Mohabbat "AAG" jaisi hy

Jo jalti ha to bujhti hy

Mohabbat "GEET" jaisi hy

Koi sazon pe mabni hy

Mohabbat rangon ki "TITLI"

Jo khusbu dhond leti hy

Mgr kyun mujko lagta hy

Ye saray lafz jhotay hain

Agr such hy to bus ye

"MOHABBAT AP JAISI HY"

Kbi gumsum kbi chanchal

Kbi jugnu kbi badal

Kbi ye neend hy to

Kbi ye khawb jaisi hy

"MOHABBAT AAP JAISI HY"


IS LIAY MAIN LOGON SAY DOR REHTA HON...

Log mujh say mil kr bichar jaty hain

Is liay main logon say dor rehta hon

Mat smjo k aaty nahi abab.e.mulqat mujhy

Khaloos ka banda hon adat sey majboor rehta hon

Jin say barha mera Rabt.e.gham hi mila

Ab rabty nahi barhata both masroor rehta hon

Log mujh kehty hain be.murawat or khud gharz

Dakho mai kitny achay namon sy mashor rehts ho

Her waqt rehta hun khud ki talash mai

Both thak gaia ho, Ghamon say choor rehta hon

SHEESHA.E.ISHQ SE TARASH MUJHE...

Sheesha.e.ishq se tarash mujhe

Aur phir ker dey paash paash mujhe

Ja raha hon main roshni ki taraf

Apne saaye ki hai talaash mujhe

Ab k zakhmi nahin hua lekin

Dil pe aai hai ek kharash mujhe

Kho diya khud ko justuju main teri

Tu ne kerna hai ab taladh mujhe.....

Friday 26 December 2014

""""TUM BIN"""

TUM BIN JIYA JAY KASAY

KASAY JIYA JAY TUM BIN

SADYON SY LAMBI HAIN RATIN

SADYON SY LAMBY HOY DIN

AA JAO LOAT KAR TUM

YEH DIL KEH RAHA HAY

AA JAO LOAT KAR TUM

YEH DIL KEH RAHA HAY

PHR SHAM E TANHAHI JAGI

PHR YAAD TUM AA RAHY HO

PHR JAAN NIKLNY LAGI HAY

KYUN MUJH KO TARPA RAHY HO

KYUN MUJH KO TARPA RAHY HO

ISS DIL SAY TOFAAN GUZRTY HAIN

TUM BIN TO JEETY NA MARTY HAIN

AA JAO LOAT KAR TUM YEH DIL KEH RAHA HAY

ISS DIL MAIN YADOON K MEALY HAIN

TUM BIN BOHAT HUM AKELY HAIN

AA JAO LAOT KAR TUM

YEH DIL KEH RAHA HAY

TUM BIN JIYA JAY KASAY

KASAY JIYA JAY TUM BIN???????

"TUM HI Q YAAD AATY HO"

Her hasseen mousam ki

Her hasseen barish ma

Dard tum jagatay ho

Bewaja satatat ho

Mousamon k lutf ko tum

Dard ma bahaty ho

Zindagi k naam se tum

jee mera jalaty ho

Lutf k sabhi lamhay

Yaad ma ganwaty ho

Her hasseen mousam ki

Har hasseen barish ma

"TUM HI Q YAAD AATY HO"

"SUNO HUMEIN TOOT JANA HAI"

Suno humein toot jana hai

Kisi se rooth jana hai

Aanaa ki aarr le kar bhi

Wafa mein chot kha kar bhi

Dua ki be.yaqeeni mein

Tumhari nukat cheeni meni

Kabhi be.khauf sa ho kar

Kabhi Anjaan se dar mein

Tumare saath beeta kal

Abhi bhi yaad hai pal pal

Mujhe Maloom tha ye bhi

Tum ne chor jana ha

Tum ne chor jana ha....

KARON TO KIS LIYE AKHIR MALAL USKA...

Karon to kis liye akhir malal uska

Usay nahi tu mujhe bhi nahi khayal uska

Meri wafa nay banaya hai bewafa usko

Kisi ada per nahi hai kamal uska

Merey naseeb ki yeh bhi tu khushnasibi hai

Ke mujh dekh ke sub pochtey hein hal uska

Yahi dua main karun har baras k pehlay din

Merey baghir na guzrey koi bhi saal uska

Merey arooj ko os ke naseeb mein likh day

Khuda.e.pak mujhey sounp day zaval uska....

"CHALAY AAO"

       Kahan ho tum chalay aao

       Mohabbat ka taqaza hai

       Ghum.e.duniya se ghabra kar

       Tumhay dil ne pukara hai

       Tumhari be.rukhi ek din

        Humari jaan lay lay gi

        Qasam tum ko zara socho k

        Dostoor.e.wafa kya hai

        Na janay kis liye duniya ki nazren

        Phir gayi hum se

        Tumhay dekha tumhay chaha

        Qasoor is k siwa kya hai

        Na hai faryad honton par

       Na Aankhon mein  koi aansu

      Zamany se mila jo ghum

      Usy geeton main dhaala ha

     Kahan ho tum chaly aao

     Mohabbat ka taqaza hai

ZAMANE BEET JATE HEIN....

Kbi nazrai  milane mein zamane beet jate hein..

Kbi nzrain churne me zamane beet jate hein...

Kis ne ankh b kholi tu sone ki nagri me...

Ksi ko ghar bnane me zamane beet jate hein...

Kbi kali siah ratein hame aik pal ki lagti hein...

Kbi ik pal bitane me zamane beet jate hein...

Kbi khola darwaza khari thi samne manzil...

Kbi manzil ko pane me zamane beet jate hein...

Ik pal me toot jate hein umar bhar k wo rishte...

Wo rishte jo bnane me zamane beet jate hein...

"BOHT UDAS HON MAIN"

Mery qareeb to ayo boht udas hon main...

Bas toot k chaho boht udas hon main...

kisi b jhote dalase se dil ko behlyo...

koi kahani sunayo both udas hon main...

Andheri  rat hai kuch b nazar nai ata...

Sitare tor k layo both udas hon main..

Sunna ha pream nagar mai kuch b melti hai..

Mujha yaqeen diluo boht udas hon main..

Ye sham yun hi guzar jaye gi dabe pano..

Wafa ka geet gayo both udas hon main.....

MUJHE CHOR KAR JAB TUM JAO GY.....

Mujhe chor kar jab tum jao gy,,,

kya kisi or ko phir tum apnao gy?

Mujh ko to youn rulaty ho jaise ajnabi hon main,,

Mere baad kis ko itna tum staao gy?

Abi to tum sath ho to zindagi jee rahay hain,,,

Kese jiyain gay jab tum mujh ko chor jao gay?

Rooh kanp uthti hai dil darakhna chor deta hai...

Jab sochte hain ke tum mujh se juda  ho jao gay..

Tumhare baad shayad main zinda na reh sakon,,,

Karo wada ke mujhe apney  haathon se dafnao gy...,.

MUJE ZINDAGI NE MITA DIA.....

Kabhi gham ki aag me jal uthe,,,

kabhi dagh.e.dil ne jala dia,,,

Ay junoon.e.ishq bata zara,,,

Muje q tamasha bana dia,,,

Gham.e.ishq kitna ajeeb hai,,,

Ye junoon se kitna qareeb hai,,,

Kabhi ashk palkon pe ruk gaye...

Kabhi poora darya baha dia,,,

Abi kar raha hai wo ibteda,,,

Mera keh raha hai ye tajruba,,,

Usay zindagi ki hai arzu,,,

Muje zindagi ne mita dia....

Friday best

Ab aas toot gai hai us k paigham anni

Lagta hai wo ab khush rehna seekh gaya hai

      Kisi or k sath...

       ______________________________________

Ajab Muqaam pe thehra hai Qafila dil ka...

              Sukoon

Dhundne niklee thy neenden bhi gawa bethy....

       _________________________________________

Kaaash k koi Rasta mil jaye us tak pohnchnay ka...

Qehar ban k baras rahi hain  mujh pe yaadain

           "Uski"
           _____________________________________

"MAIN THA MATTI AUR MUJHE MATTI K GHAR ACHA LAGA"

Guftago achi lagi,,

zoq.e.nazar acha laga,,,

Mud'daton k bad koi humsafar acha laga,,

Zindagi ki be.sar.o.samaniyon k bawajood,,

Aaj tu aaya to mujh ko apna ghar acha laga,,

Manzlion ki baat chhoro,, Kis ne payein manzilain,,,

Ek safar acha raha, Ek humsafar acha laga,,

Soch kar main na chuni hai aakhri aaram gaah..

Main tha matti aur mujhe matti ka ghar acha laga....


Thursday 25 December 2014

~~NAZAR SAY DOR~~

Nazar say dor hota ja rha hy

k wo mjboor hota ja rha hy

usy hum say tgaful ka gila hy

jo khud maghoor hota ja rha hy

azal say rooh to thi apni ghayal

badan bhe chor hota ja rha hy

muhabt jurm bnti ja rhi hy

ajab dastoor hota ja rha hy

khuda jany k teri aankhon mai

kya hy k dil majboor hota ja rha hy

muhabt ka adhora sa fasana

boht mashoor hota ja rha hy.........

"Dil"

Dil ki taaq p diya jalany ao gi

main tum ko kuch yaad delany ao gi

mery dard ko tum bhe seh na pao gy

apny ansoon sy tumhay rulany ao gi

shoq boht tha jin galeoon main basny ka

waha p aik din khaak urany ao gi

mery tum sy kasy kasy rishty hain

tum ko aik bar or btany ao gi

bujh bhe jain gi yeh sansin phr bhe mai

roz tumhary naz uthany ao gi

jeetny dun gi tumhy har bazi or phr

apni haar ka jashan mnany ao gi.

"MERY HUMSAFAR"

Mery humsafar kisi roz tu

mery pas a mery ru ba ru

Kisi roz meri sun guftgu

meri chahton mai basi hoi

mery ansoon say bhari hoi

mery shab k lamhay shumar kar

meri zandgi na azab kar

wo lafz jo tery nayab hain

wohi lafz mery naam kar

mujhy lay kr khein dor chal

zara hath mera tham kr

mery humsafar kisi roz tu

mery pas a mery ru ba ru

meri khawishon ko umeed dy

meri zandgi ko naveed day

mery humsafar kisi roz tu

mery pas a mery ru ba ru........,

"DIL K LUT JANE KA IZHAR ZARURI TO NAHI"

     Dil k lut jane ka

     Izhar zaruri to nahi

    Ye tamasha sar.e.bazar zaruri to nahi...

    Mujhe tha ishq teri rooh se or ab b hai,,

   Jism se ho koi srokar zaruri to nahi,,,

   Main tujhe toot k chahon to meri fitrat hai,,,

   Tu b ho mera talabgar zaruri to nahi...

   Ae sitamgar zara jhank meri aankhon main,,

  Zuban se pyar ka izhar zaruri to nahi.......

BE_MISAL AANKHEN

Ye mast mast be_misal aankhen

Nashe se hr  dum nidhal aankhen

Darz palken wisal aankhen

Musawari ka kamal aankhen

Uthen to hosh_o_haws cheenen

Giren to kar den kamal aankhen

koi he in k karam ka talib

kisi ka shoq.e.wisal aankhen

Na yun jalayen na yun stayen

kren to kuch ye khayal aankhen

Hain jeena ka bahana yaro

Yr rooh parwh jamal aankhen

Sharab Rab ne haram kr di

Mgr kyun rakhi halal aankhen

Hzaron in se qatal huwe hain

Khuda k bande smbhal aankhen....

TODAY CHOICE

Gila shikwa hi kar dalo

k kuch waqt kat jaye

     WASI

Labon pe app k ye

khamoshi achi nahi lagti....

        _______________________

Mujhe aksar apnon se chahat ka shikwa rehta hai....

           WASi

kyun k apnon na chaha nahi mujhe apnon ki tarah..

           _________________________

Kahin tanha na ker de tujhe masroof rehne ka SHOQ

Jab subha ho to kisi ka haal.e.dil b pouh liya kar....

"KAHA THA NA"

    "KAHA THA NA"

K yun sotay huay mat chor k jana..

Muje beshak jaga dena, Bata dena...

Tumhe rasta badalna hy,,

Meri had se nikalna hy,,

Tumhe kis bat ka dar tha,,,

k  main janay nahi don gi??

kahin pe Qaid kar lon gi??

         ARY PAGAL!!!

Mohabbat ki tabiat main

Zabardasti nahi hoti...

Jisy rasta badlna ho osay rasta badlne se..

Jisy had se niklna ho osay had se niklne se..

Na koi rok paya hy na koi rok pae ga...

Mgr ik bat keh dun?

TUMHE KHONEY SE DARTI HON

MAIN AB SONAY SE DARTI HON...

"JO CHALAY TO JAN SY GUZAR GAYE"

   

     "JO CHALAY TO JAN SY GUZAR GAYE"

Tujhy kia khabr meray haal ki..

Mery dard  mery malal ki

Yeh mery khayal ka silsila

Kisi aAg say hay mila hoa

Usay dekhna usay sochna

Meri zandgi ka hay faisla

Yeh usi ki palkon k saye hain

Meri rooh main jo utat gaye

Ye janoon-e-manzil-e-ishq hy

Jo chaly to jan say guzar gaye

Mujhy is maqam p chor na

Hay yeh bewafai ki inthaA

yeh qafas hay jasay khuli fiza

Yahee sukh ka sans main lo zara

jinhy teri deed ki pyas thi

Wo katoray naino say bhar gaye

"YEH JANOON-E-MANZIL-ISHQ HAY

JO CHALY TO JAN SAY GUZAR GAYE"

TUJHY ROZ DAKHO QREEB SAY...

   "Tujhy roz dakho qreeb say"

     Mery shoq b hain ajeeb sy

     Main nay manga hay tujko

     Bus Apny rub r us k Habeb sy

     Meri aankh mai b hay ajzi

     Mery khwab b hain Ghareeb say

     Mery sub dukhon ki dawa ho tum

     Mily kia sakoon Tabeeb say

     Main boht khush ho jorr k

     Naseeb apna tery naseeb say

     "TUJHY ROZ DAKHON QREEB SAY

       MERY SHOQ BHEE HAIN AJEEB SAY"
     

TERI YAADON KI RAWAANI AUR YEH DECEMBER.....

Teri Yaadoon ki rawaani aur ye December.....

Meri batein teri kahani aur ye Decembar....

Mera hath Tera sath lambi sarak aur ye Decembar....

Gum Sum shaam sunehri raatien aur ye December...

Bhigey din madham suraj halke badal aur ye December....

Behti nadia gaaley panchi urti dhund aur ye December...

Cofee bistar teri mohabbat aur ye Decembar...

Tanha main tanha chand mera kamra aur ye Decembar...

Meri Ankhein meri neend tera khawab aur ye December.....

SUNO YUN CHUP SE NA RHA KARO....



      Suno yun chup se na rha kro

Khamosh se jo ho jaty ho..

Dil ko waham se ho jata ha...

Kahen khafa tu nai ho...

Kahan udas tu nahi,,,

Tum bolty aachay lagtay ho...

Tum dante achy lagth ho...

Kabi shararat se kabi guse se...

Tum hasty achy lgty ho...

Tum bolty achy lagty ho...

"TUM BOITY ACHY LAGTY HO....

KISI ROOZ SHAAM K WAQT..

Kisi roz shaam k waqt,,,

Sooraj k Aaram k waqt,,,

Mil jaeyn jo saath tera,,,

Haath me le k haath tera,,,

Door kisi Tanhai mein,,,

Dunya se judai mein,,,

Aapnay sang bithaoon Tujha,,,

Dil ka haal sunaoon tujhe,,,

Teri izzat.o.Ahetraam karoon,,

Tere haathon ki Lakeeron mein,,,

Talash apna naam karoon,,,

Kisi rooz sham k waqt....

"TUMHAIN HUM KAISY BHOL SAKTY HAIN"

     

       "USY KEHNA"

Tumhain hum kaisy bhol sakty hain...

Ye gulab b tera aks hai,,

Ye sitara  b tera nagsh hai,,

Ye chand tmhari chaht hai,,

Bus tuj ko hi sochty rehna..

Apny dil ki raht hai...

     "USY KEHNA"

Tumhain hum yad karty hain..

Pory chand ki raton me sab kushi ki batoon me..

Kbi bejan lamhon me Anjan raston me..

Tumhain hum yaad karty hain...

TUMHAIN HUM KASIY BHOL SAKTY HAIN...

"AB SO JAO"

Kyun raat ki rait pe bikhre hue...

Taron k kankar chunte ho??

Kyun sannate ki salwat men..

lipti Aawazen sunte ho??

Kyun apni pyasi palkon ki jhalar men..

Kyun rotay ho?

Ab  kon tamhari ankhon men...

Sadiyon ki neend undele ga??

Ab kon tumhari chahat ki,,

Haryali men khul kr khele ga??

Tum apni soch k jangal men,,

Rah bhatko or phir kho jao

          "AB SO JAO"

          "AB SO JAO"

PEHLI CHAHAT......

Mujh ko tera pyaar teri dosti achi lagi....

Teri nisbat se sada ye zindagi achi lagi...

Maine apne Rab se phir manga tujhi ko umar bhar...

Teri aankhon ki mujhe dariya dili achi lagi...

Bhaa gaee muskan tera honton ki kasam...

Teri baaton ki mujhe sanjeedgi achi lagi...

Yoon to ghazlen b likhi hain...

Geet b maine mgar...

Jis main ho bus Tum hi Tum,,

Wo shaayiri achi lagi...

Wednesday 24 December 2014

Jab main nay us sy pocha tha


Jab main nay us sy pocha tha

kya dhoop main barish hoti hy

wo hasty hasty ronay lagi

or dhoop main barish honay lagi

nazuk c kali murjha c gai

or ro kar mujh say kehny lagi

tum chor na jana o sajan

dil tor na jana o sajah

tum kya jano dhoop ki barish

tum kya jano hijr ka gham

jab tum door thy mujh sy o sajan

"yaad ka angan"

Jab yaad ka angan kholu to

kuch log boht yaad atty hain

main guzry dino ko sochu to

kuch log boht yaad atty hani

ab jany kis nagar main soi parri hay mudat say

main raat gaye tk jagu to

kuch log boht yaad atty hain

kuch batin thi phoolon jasi

kuch khushboo jasy lehjy thy

main sher e chamen main tehlou to

kuch log boht yaad atty hain

vo pal bhr ki narazgian vo maan bhi jana pal bhr main

ab khud say jab bhi roothon to

kuch log boht yaad atty hain.

chaand ki raat

Aankh ki nadya ashk ki naya yaad tumhari

                       "Chand ki raat"

Jharna jugno tim tim tary kitni pyari

                        "Chand ki raat"

Sokhy patay sard hawain sokhi sarkin

                         "Main or Tum"

Shah or Malka hath hain thamy or darbari

                          "Chand ki raat"

Mera bachpen dour patangin paki neenidn

                       "Kachy ghar"

Chupan chupai chena jhapti raaj dulari

                         "Chand ki raat"

Taash k patay yaar humary meli chadar

                          "Gehri chaal"

Sans ka huqa behki batin hum pr tari

                          "Chand ki raat"

Seep khuar moti ko dhondy sagar sagr phrti thi

mehk teri sahil p utri shoq ki mari

                   "Chand ki raat"

";"AMMA";"

Amma apny labu dy

mery mathy p dua likh do

makeen jannat ki ho jao

teri khidmat ki dolat

akhrat main kaam ay gi

teri khushnodi ki shama

andhron ko mitay gi

yeh sab mumkin tub hi ho ga

jb tu khush ho k dua day gi

amma apny labu sy

mery mathy p dua likh do.

''''APNI KHATIR''''''

APNI KHATIR JAGY HO SOY HO

APNI KHATIR HASY HO ROY HO

KIS LIY AJ KHOY KHOY  HO

TUM NY ANSO BOHT P LIY APNY

TUM BOHT SAAL REH LIY APNY

AB SIRF MERY MERY HO K RAHO

HUSAN HI HUSAN HO ZAHANT HO

ISHQ HU MAIN TUM MOHABBAT HO

TUM BAS MERI MERI AMANT HO

JEE LIY JIS QADAR JIY APNY

TUM BOHAT SAAL REH LIY APNY

AB SIRF MERY MERY HO K RAHO.

""DHOOP MAIN BARISH""

Jab main nay us sy pocha tha

kya dhoop main barish hoti hy

wo hasty hasty ronay lagi

or dhoop main barish honay lagi

nazuk c kali murjha c gai

or ro kar mujh say kehny lagi

tum chor na jana o sajan

dil tor na jana o sajah

tum kya jano dhoop ki barish

tum kya jano hijr ka gham

jab tum door thy mujh sy o sajan

mary hath ki chori or kangan

jab geet tumhary gaty thy

mujhy yaad boht tum atty thy

main hasty hasty roti thi

or dhoop main barish hoti thi.

Mujh Yaad hr shaam kia kr...

Waqt nikaal k chota sa mera kaam kia kr....

Tu kuch dair mujhe yad hr shaam kia kar.....

Ameer.e.sheher se na barrha rasm.e.raah...

Ghreeb.e.shehar ko jhuk k salaam kia kr....

Nhi maangta mohabbat ki bheek tum se...

Hum Ehl.e.Dil hain hamara Ehtiraam kia kar...

Tabiyat behel c jati he tumse baat kar k...

Shaam ka koi peher mere naam kia ke....

Tumhein mujhse jo gily hein mere sath kr...

Yoon nrazgi ka charcha na sar_e_Aam kia kr........

ABI TO DOOR HY MANZIIL....

Abii to door hy manziil,,

Abii khud ko na tanha kr,,,

Terii ankhain samundr hain,,,

Samundr ko na sehra kr,,

Mere dil doob jata hy,,

mujh aiisy na dekha kr...

Hawa mujsy kahy pagal,,,

Yun raston maii na betha kr,,

wo aik din chor jay ga

Usy iitna na chaha kr....

KIYUN DARD MILTA HAI AKSAR DIL LAGANAY K BAD....

Kiyun dard milta hai aksar  dil laganay k bad

kiyun yaad aatay hain wo aksar bichar janay k bad

Mujhay ahsas  tak na tha k wo juda hongay,,

"Tab hi rona para un k janay k bad"

"Zinda logo ki qadar nahi kartay

Be'dard dunyan waley

Ro Ro k yaad karte hain mar janay k baad........

Best of 3

Har koi deta hai zakham gin gin ke

            Be.wajah

Main kis kis zakham ko apna Naseeb samjhoon....

      __________________________________________


Usy kh do youn weham na kia kray...

Ye diil koi khilona to ni jo hr kisi ko dy dein gy.....

                _______________________________


Sara shehar meri dewangi sy waakif raha Mgar...

Ek us ke he aankhon sy  be'aitbaari na gae....

               ____________________________________

Tuesday 23 December 2014

HUMSAFAR

Wo humsafar tha  magar us sy hum nawai ba thi

k dhoop chaoon ka   alam raha judai    na thi,

adawatin thi taghaful ths  ranjishin thi magr

bichrnay walay main sub kuch tha bewafi na thi

bichrtay waqt un aakhon main thi humari ghazal

ghazal bhi vo jo kbhi ksi ko sunai na     thi

kasay pukar raha tha wo dubtta hoa din

sada to I thi lakin koi duhai na thi

kabhi yeh haal k dono main yakdili thi boht

kabhi yeh marhla jasay aashnai na thi.

HIJAAR KA QAYAM.......!

ABHI HIJAR KA QAYAM HAY
OR DECEMBER AAN POHNCHA HAY

                 YEH KHABAR SHER MAIN AAM HAY
                   DECEMBER AAN POHNCHA       HAY

ANGAN MAIN UTAR I HAY
MANOOS C     KHUSHBOO

                   YADOON KA ASDHAM HAY
                      DECEMBER AAN POHNCHA HAY

KHAMOSHION KA RAAJ HAY
KHEZAN TAAK MAIN       HAY

                   UDASI BOHAT AAM HAY
                    DECEMBER AAN POHNCHA HAY.

TERY KHYAL MAIN RAAT GUZR JATTI HY.....

Tery khyal main raat guzr jatti hy

bybasi k haal main raat guzr jatti hy

tum mujhy yaad krty ho k!          Nahi

is sawal main raat guzr jatti  hy

tery cehry ka aks zehn main bnaty hain

tasver e khyal main raat guzr jatti hy

Tumhy chand kahu ya chand jesa

socho k jaal main raat guzr jatti hy

kash k tum har waqt mery sath raho

khwaish e kamal main raat guzr jati hy

bagher qismat k kuch bhi nhi milta

bs isi mlal main raat guzr jatti hy.

Tob 5 poetry mohsin naqvi

Main tum ko aksr asy yaad krta hu mohsin!

jasay sehra ka musafir ho pani ki talash main.

______________________________________________

Dukhon ny mry daman ko yun thaam rkha hy

                          Mohsin

k jasay un ka bhi mery siwa koi or na           ho.

________________________________________________

Vo is qadar apni zaat main uljha raha mohsin!

k vo kis kis ko bhool gya usy khabr tak na  hoi.

________________________________________________

Kitab khol rha tha vo apny mazi ki

warq warq p bikhrta gya mera cehra.

________________________________________________

Wafa main ab yeh hunar ikhtyar krna hy

wo such kehy na kehy etbar krna         hy.

TUM PHIR LOT AAO NA.....

Bohat veeran hay dil mera koi

Mehfil jamao na......

Wisal e jaan ki yadoon ka

koi qissa sunao na....

Jo sapny hum nay dakhy hain

Humesha sath rehn gy....

Un haseen khawabon ko

Haqeeqat tum banao na....

Tumhary bin ye lamhy

Azab e jaan se lagty hain...

inhain asan banao na

Tum phir lot aao na.....


BS K REHTY THY JO MAZI ME.....

Bs k rehty thy jo mazi me uljalon ki trah

Aj kitabon me hai  wo log hwalon ki trah

Shab e tarik me ye bikhry huwe  taary dekho

kisi ulfat me uljhy hain khyalon ki trah

Maykush kiya hai teri ulfat ne mujh

Teri yaaden hain sagar k pyalon ki trah

Raah e ulfat me kaii log toot kr bikhry

Dunya krti hai unhe pysh,, Misalon ki trah

Jb se khayen hain zakhm teri mohabbat me

     Mohsin

Nigahen mujh pe uthti hain sawalon ki trah.....

AATA HA YAAD MUJHKO.....

Aata ha yaad mujhko guzara hua

           Zamana

Wo baag ki bahaarain wo sab k

        Chah.chahaana

Aazadiyan kahan wo ab apne

       Ghonsle ki

Apani khushi se aana apni khushi se

      Jana

Lagti ho chot dil par aata hai yaad

          Jis dam

Shabnam ke aansuon par kaliyon ka

       Muskurana...

Top Ten Best Poetry


Wo ek shab jala to osse charagh keh diya...

Hum barson se jal rahe hain kuch to khitaab do...

---------------------------

Rahe ga yeh gila takdeer se hamesha....

jis ko pal pal chaha ussi ko pal pal tarsey hum....

----------------------------------

Tabdeil jab b ati hay mosam ki adaon main....

ksi ka yonhe badal jana boht yad ata hay....

-------------------------------------------

Zangg lagg naa jaye kahen wafaa'on ko....

Kuch to tum bi rabbtoun ke silsilay rakho....


----------------------------------

Lub.e.tishnagi ki manind,,,

Shab.o.roz qatra qatra....

Mujhy zehr mil raha hai,,

Teri berukhi se jaanaa....

---------------------------------

Raas aati nahi tanhai bhi....

Orr

Har shakhs sy bey'zaar b hoon....

------------------------------------------

Un se zaroor milna saleeqe k log  hain.....

Saar bhi qalam kare'n ge baare ihetraam se.....

7 behtreen shaery

Aanson ki zamanat bhi jahan kaam na aaie...

Wo shaks lafzon ka yakeen khaak karega....
--------------------------
Log shaamil thay aur bhi...

Lekin.....

Dil teri koshishon se toota hai.......
--------------------------------------------------
Faaslay barh gaye

Aur km.bakht mohabbat bhi.....
-------------------------------------------------
Maut to naam se badnaam hai warna,,,,

Takleef to zindagi bhi bahut deti hai......
---------------------------------------------------
Dukh to aise sir'hane baithy hain,,,,,

Jese mere mureed hon saary.....
----------------------------------------------------
Kaash utne wafadar bhi hoty......

Log jitney  hassen hoty hain....
-----------------------------------------------------
Kuch hi waqt me bik gaya bazaar ka her aik jhoot...,.



Aur main ek sach ko le kar shaam tak betha raha......
-------------------------------------------------------
Kuch khushian kuch ansu de kar taal gya....

Jevan ka ik or sunehra saal gya...

Na sda'en badalti hain na wfa'en badalti hain

Na sda'en badalti hain na wfa'en badalti hain,,,,

Kuch logon ki bas Ada'en badalti hain,,,

Toot jata ha bna bnaya Aashyana ik pal me,,,

Jb mosoomon ki tarah hawa'en badalti hain,,,

Apna sab kuch de dety hain...

Hum  chahat me..

Najany phir bi kun logo ki nigah'en badalti hain.......

Saturday 20 December 2014

Ulfat k nasheman ko khud aag laga bethey

Ulfat k nasheman ko khud aag laga bethey

Gulshan ki chaht mai ham gul b ganwa bethey

Hum dard k maaron ka dastoor nirala hai,,,

Manga jo kisi ney dil, hum jan b luta bethy

Dushman k iraadon ka ab khof nahi mujko,,

Apnon ki inayat sey jb ghar hi jala bethey....

HUMEN TO HUKAM, E.MUJAAWRI HE....

Hmen to hukam.e.mujaawri he

Mazaar.e.dil me he kon madfun?

Ye kis aroosa ka maqbra he?

na koi katba,, na koi takhti,,

Na sang.e.marmr ki sil pe likha

Hoa mohabbat ka sher koi...

Faqat sarhane se paaeni tk

Amr ki bali ik lipat gai he..

Jo ik zmane se keh rahi he..

yahan thikana tha aashqi ka,,,

Ye peer khaana the aashqi ka,,

kise khabr k yahab he madfun,,

Faqeer koi aseer koi,,

ya phir Waris ki Heer koi,,

Mgr humari majaal hi kya,,,

Yahan jo bolen zubaan kholen

Humare lab to sile hoe hen,,

Na jane kb se sile hoe hen?

Bs

Humen to hukm.e.mujaawri he...

MOHSIN NAQVI

Usko fursat hi nahi waqt nikaly

  Mohsin

Aisy hoty hain bhala chahny waaly

     Mohsin

Yaad k dasht mein phirta hon main nangay paaon,,,

Dekh tu aa k kabi paaon k chhaaly

      Moshin

Kho gai subho ki umeed, or ab lagta hai,,,

Hum nahi hon gy,

k jb hon gy ujaaly

   Mohsin

Hakim.e.waqt kahan,

Main kahan, Adl kahan...

Q na khalqat ki zubaan par lagaen taaly

   Mohsin

Wo jo ik shakhs mtaa.e.dil.o.jaan tha, na raha..

Ab bhala kon mery dard sambhaaly

      Mohsin

DECEMBAR THA....

Bas ik meri bat nhi thi,,

Sb ka drd December tha.....

Barf k shehar  mein rehny wala

Ik ik fard December tha,,,

Pichly saal k akhir mein bhi

Hairat main hum teno thy,,,,

ik main tha,,,

ik tanhai thi,,

ik bedrd December tha.....

Apni apni himmat thi,,

Aur apni apni qismat thi,,,

Hath kisi k neely thy,,,

Aur pela zarrd December tha....

6 Poetry of the Week

"Us nay bhulaa diya to shikwa na kr aey dil.....

Jaan se pyaron ko brray ikhtiyar hua krty hain"
---------------------------------------------
Waqt hai jhunka hawa ka,,,

Or hum faqat sookhy pattay,,,,

Kon jane aaglay December,,,

Tum kahan or hum kahan....
-----------------------------------
Khuwaab aankhon mein sajaye howay masoom say log...

Zinda rehnay ki taman'nao mein mar jatay hain.....
----------------------------------
Jo pukaarta tha her gharri,,,

Jo jurra tha mujse larri.larri,,,

Koi aisa shakhs agar kbhi,,

Mujse rooth jaey to kya kron....????
------------------------------------------
Zindgi raqs kia krti the....

         Mohsin

Ab to chup chaap pari hai mujh main.....
-------------------------------------------
Khamosh c raat aur guftagu ki aarzu....

Hum kis se karen baat koi bolta hi nahi......
-------------------------------------------
Chand lamhon ka hua krta hai khawabon ka safar,,,,

Aankh khulti hai too sadiyon ki thakan hoti hai.......

Friday 19 December 2014

Nahi hai hamara haal

kuch tumhare haal se alag

       Faraz

Bus fark hai itna,,

K tum yaad karte ho

Or

Hum bhool hi nahi paatey......
Ho judai k sabab kuch b magr

hum usy apni khata kehty hain

wo to sanson me dhala hai mera

janau q log usy mujhse juda kehty hain....
Is waqt inzar k aalm na poucho?????

Jab kaha raha ho koi

Bs aa raha ho main....
Hum ny kab us ko na chah

    Mohsin

Hum ny kab qol na many dil k.....

Dua

Mera lafz lafz dua dua!

Mere ansuaon se dhula hua!

Tumhen zindagi ki

           Saher

Mily!

Tumhen khushbuaon ka safer mily!

Na miley kabhi tujhe dard.o.ghum!

Teri aankh bhi na kabhi ho num!

Tere pyar jis pe nisaar ho!

Ussey tujh say be.had piyar ho!

Tujh pe khushiyon ki barsat ho!

Or taweeeel teri hayaaat ho!

Thursday 18 December 2014

Waqt tazi sy badal gya....

Aur loag!!!

Waqt sy bhe taiz nikly.....
Maloom bhi hai k yeh mumkin hi nahi

   Magar


Aik aass si rehti hai k tum yaad karo gay.....
Zakhm b koi nahi phir b dard ka ahsas hy...

Shayd dil ka koi tukra aj b us k pass ha....
Khud ko khony ka pata b na chala....

kisi ko paany ki  yun intehaa kar di hum ne.....
Jis Qadar toot kay chahty hein hum tumhain

Be.rukhi ki hadd mein tum utnaa hi kamaal karty ho.....
Tu kia jaane humare piyaar ki gehraai ko....

Hum sath hote hain to wafa krte hain...

Aur

jb Door hote hain to dua krte hain
Unhain bewafa jo kahun.....

To toheen hai wafa ki,,,,

Wo to wafa nibha rahy hain,,,,,

kabhi idhar,,,,,

kabhi udhar....
Tum pyaar k  qaabil nahii,,,

Tum pyaar k layeq nahii,,,

Uss ne kaha ,,,

Hum se kaha,,,

Hum ne suna,,,

Acha laga......

Wednesday 17 December 2014

"ARMY PUBLIC K BACHON K NAAM"

"Army public k bachon k naam"

Qalam uthaon to main kia likhoo!!

Tere khoon alood basta likhu??

Ya tere school k tasta likhu??

Tum nay kaha tha banu ga doctor main

Ab kia doctor k haath main tera tukra likhu??

Roya hu me aaj khoon k ansu

Aye mere chand kia aaj me teri aahon ka hawala likhu???

Teri qurbani se pura pakistan he sogwaar har soo

Tere lahu se ab me qatil ki saza likhu

Dil to krta he dafan hojaoo in phoolon k sath

Ya phir tamam umr bus in bachon ka hawala likhu....

BUS TUM SY MOHABBAT HAI.....

Tanhai k sehra mein,,,

yun chor k chal dena,,,

chohti si shikayat par,,,

Moun mor k chal dena,,,

yeh kesi mohabbat hai,,,

yeh kesi rafaqat hai,,,

Agr pas.e.wafa rakh kr,,,

Tum maan bara dety,,,

Be'laus rafaqat par,,,

Emaan barha dety,,,

Mein fakhar sy phir kehta,,,

Tum jaan.e.rafaqat ho,,,

Tum baab.e.Mohabbat ho,,,

Tehreer.e.sadaqat ho,,,

Yeh sab hai magar tab bhi,,,

Hai mujhko yaqeen ab bhi,,,

Jo kuch bhi kaha mein ne,,,,

shikwa ha shikayat hai,,,

Lekin yah haqiqat hai,,,

Bus tum sy mohabbat thi,,,

Bus tum se mohabbat hai.......
Main kis k nam likhon jo aalam guzar rhy hn....

Mere shahr jala rhy hn maire log mar rhy hn.....

Tuesday 16 December 2014

Jab sy mujh ko akela chor gai ho???????

tab sy is jaan mi ab jaan nahi  hy............
Muhabbat mai kashish hoti hy warna.........

main ny boht bar dekha hy akhri bar usy!
Log kehty hain k tu mujh sy khafa hy lakin

manta tu b nahi, dil b nahi,   main   b nahi.
Ab koi dard dard lgta hi nhi,

ik be dard nay kamal kr  dia.
Kyun itni be rukhi sey paish aty ho....???

Haq na sahi ishq         to .............hy.......
Ajab faisla kia usne meri zinadgi ka???

Zhar dikha kr bola..

peena parega

or

peene k bad bola

Agr piyar krte ho to

mere liye jeena parega.....
Zindgi ki uljhano ne cheen li hain mujse shrartein meri,,,

Aur log samjhte hain k both badal gaya hoon main......

SUNANE SE RAHA MAIN....

Ahwal.e.ghum.e.zaat sunane se raha main...

Ab khud ko tamasha to banane se raha main....

Har baar mai Tazlil.e.anaa kar nahi sakta ...

Har baar usay ja k manane se raha main....

Ehsaan ka mafhoom hai aankhe'n na milana....

Ehsaan kisi ka bhi uthane se  raha main...

Mumkin hai kisi roz yah akseer bana de...

is dil mai lagi aag bujhane se raha main...

jo zakham rafiqo'n k rawaiyon se laga hain....

Wo zakham kisi ko bhi dikhane se raha main....

Jane do mujhe bazm.e.turab mein, nahi roko...

Baar.e.ghum.e.tanhai uthane se raha main....

Dariya hun to dariya hi usay pesh karun ga...

piyase ko samandar to pilane se raha main....


Siwa tere nazar bhar kr kisi ko kis tarah  dekhain....

Nigah.e.shauq se sb chheen li dilchaspian tu ny....
Apny halat ka bhe ehsas nhi hy mujh ko,,,,

    Mohsin

Main nay oron say suna hay

k preshan hun main.....
Jaaney kyun ik khayal sa aya....

Hum na hungy to kya kami hogi.....???
"Thaki tooti hui,,

Neendon ke darmiyaan

  Aksar"

"Bohat chupkey say,,,

Jaag uthati hai teri Yaad"
Kiya khoob hota k

Yaaden rait hotein....

Mutthi se gira detay....

Paaon se urra detay....
Lihaz.e.ishq na hota to tujh se ranjishain hotin...

Shikayet sirf itni hai k

Tu samjha nahi mujh ko.....
Jab laga tha teer tab itna dard na hoa...

Zakhm ka ehsas tab howa

jab kaman dekhi apno k hatho main....
Chahat sy fatay krty hain logon k dilon ko...

Hum aisay sikandar hain jo lashkar nahi rakhty....
Main nayab uljhano ki mukamal kitaab hun...

       From

"QURAN PAK"

SAAMNAY MANZIL THI.....

Saamnay manzil thi

Or peechay us ki Aawaaz

Rukta to safar jata

Chalta tobicharr jata....

Manzil ki bhi hasrat thi

Or us sy mohabbat bhi.....

Ay dil ye bata mujh ko

us waqt main kidhar jata....

Muddat ka safar bhi tha

Or barson ki shanasai bhi....

Rukta to bikhar jata

Chalta to main marr jata....

Lagi piyas ghzab ki thi

pani mein bhi zehar tha....

peeta to bhi marr jata

Na peeta to bhi marr jata.....

Monday 15 December 2014