Thursday 29 January 2015

"Koi Mujh se itna khafa q hai "


Koi mujh se itna khafa q hai,

Ye naraazgi be.wajah q hai,

Kiya phir ho gai mujh se hi koi khata,

Ye dil itna qadar darte q hai,,

Wo rooth jaata hai mujh se ajnabiyon ki tarah,

Phir b apna sa lagta q hai,

Mujhe manaane ka fun aata nahin,

Jaanta hai to phr wo mujh sy rootha q hai....

Tuesday 27 January 2015

lambi umar....


Apno k ghar chal rhi thi

Mery Qatal ki sazish

Jo hum pohnchay Achanak

To muskara k bole

Apki umar kitni lambi hai.

"Sar.e.aam milen gy"


Her shaam kehty ho kal shaam milen gy

Kyun aati nahi wo shaam jis shaam milen gy

Youn acha nahi lagta ye shaam'on ka Badalna

Kal shaam bhi kaha tha k kal shaam milen gy

Aati hai jo milny ki gharhi karty ho bahana

Youn milna acha nahi kisi kaam sy milen gy

Ye raah.e.mohabbat hai yahaan chalna aasaan nahi

Ungli bhi uthay gi yahaan ilzaam milen gy

Umeed hai woh din bhi aaye ga

Subah shaam milen gy

Sar.e.aam milen gy

"Hum Tum bin adhure hain"


 Bohat majbur hain hamdam

Na itna yaad aao tum,

Na yun itna sataoo tum,

k itna yaad aa kr yun,

Hamen pagal bana k tum,

Faqat itna bata do k,

Hamari jaan lo ge kya?

Magar ye bhi haqeeqat hai,

Tumhari yaad hi to hai,

Jo har pal sath rehti hai,

Khushi meni bhi,

Ghamon mein bhi,

Udasi k palon mein bhi,

Tumhari yaad hi to hai,

Jo har pal ye batati hai,

Mujhe ehsas dilati hai,

K

Hum tum bin adhure hain,

k

Hum tum se hi pure han....

Monday 26 January 2015

"Sitaaroun Se Aage Jahaan aur bhi hain "


Sitaaroun se aage jahaan aur bhi hain

Abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain

Tu shahin hai parwaaz hai kaam tera

Tere saamne aasmaan aur bhi hain

Isi roz.o.shab mein ulajh kar na reh jaa

Key tere zamin.o.makaan aur bhi hain

Gae din key tanha tha main anjuman main

Yahan ab mere raazadaan aur bhi hain....

Us Ka Malaal kya karna....


Bichar gaya hai jo ab

Us ka malaal kya karna

Ab us ki yaad mein jeena

Muhaal kya karna

Main janta hoon ke

Wo bewafa na maaney ga

Wohi jawab miley ga

Sawal kya karna

Tu hijar  de gaya aur

Pyar ko bhula betha

Woh bewafa  tha ab

Us k khayal kya karna

Usey bhulana hi

Teri bhalayi hai,

Dil.e.tabaah ko ab

Hasta haal kya karna......

Hanste Huye Logon Ko Rulaya Nahi Karte....


 Hanste huye logon ko rulaya nahi karte,

 Hum apna koi zakham dikhaya nahi karta,

 Ik bar jisy apni nigahon se gira dain,,

Phir us ko kabhi dil mein basaya nahin karte,

Us sakhs se mil kar mujhe ehsas hua hai,,

Jo pairr barre hote hain saaya nahi karte,,

Rakhte hain unhe hum sadaa seeney se laga kar,,

Dukh apna kisi ko bhi sunaya nahi karte,,,

Yeh khel mohabbat  ka hai phir soch lo,

Kho dete hain yadan sab kuch paaya nahi karte.....

Mohabbat ka Janun Baqi nhi.....


 Mohabbat  ka janun baqi nhi

 Hay musalmano may khun baqi

 Nhi ray safain kuj, Dil pareshan,

Sajda be zauq ragon may lahu

 Baqi nhi hay wo dil, wo aawaz

 Baqi nhi hay namaz

 Roza, Qurbani, haj sab baqi hay

 Tu baqi nhi hay

"Sajda.e.ishq hoTo ibadat may Maza Aata hay"


Sajda.e.ishq ho to ibadat may
      Maza aata hay

Khaali sajdon may to dunya hi
       Basa karti hay

Log kehte hain k bas fatz ada
        Karna hay

Aisa lagta hay koi qarz liya ho
         Rab se

Taire sajdey kahin tujhey kaafir
          Na kar dain aey iqbal

 Tu jhukta kahi aur hay aur
        Sochta kahi aur hay

AAllam Iqbal


 Guroor to hona tha unko hamari

 Mohabbat  ki siddat dekh kr

 Magar wo apni qadr ki soch

 Men hamari Qeemat bhol gye

       __________________________

Wo jate jate keh gaya ke hum

 Sirf khowobo mai ayege

 Humne kaha wadaa to karo

 Hum zindagi bhar ke liye  sojayege

          _________________________

Na main ajmi, Na hindi,

Na iraaq.o.hijaazi

"K khudi se maine Seekhi do

 Jahan se be.niazi...

        ____________________________

Sabaq mila ha meraj.e.mustufa se

mujhe k Aalim.e.bashriyat ke zadd mai ha gardoon

      __________________________________

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun....


 Tere ishq ki intaha chahta hun

 Meri saadgi dekh kya chahta hun

 Sitam ho k ho wada.e.behijabi

 Koi bat sabr.azma chahte hun

Ye jannat mubarak rahe zahidon ko

 K main ap ka samna chahta hun

 Koi dam ka mehman hun ai ahl.e.mahfil

 Chirag.e.sahar hun, bujha chahta hun

Bhari bazm mein raz ki bat kah di

 Bara be.adab hun, saza chahta hun

Qareeb Un Ke Aane Ke Din Aa Rahe hain...


 Naseeb Aazmaane ke din aa

 Rahe hain Qareeb un ke Aane

 Ke Din aa rahe hain jo Dil se

 Kaha hai jo Dil se suna hai sab

Un ko sunane ke Din aa rahe hain

Abhi se Dil.o.jaan sar.e.raah rakh do

 Ke Lutne Lutaane ke din aa raha hain

 Tapakre lagi un nigaahon se

 Masti nigahain churaane ke

 Din aa rahe hain

 Saba phir hamain punchti phir rahi hai

Chaman ko sajaane ke din aa rahe hain

 Chalo "Faiz" phir se kahin dil lagain

 Suna hai Thikaane ke din aa rahe hain

"Dil Main Ab Yun Tere Bhooley"


 Dil mein ab yun tere bhooley

 Howey gham ate hain jese

 Bichre kuye kaabey main sanam

 Ate hain ek ek kar ke huye jate

 Hain diya tarey roshan meri

 Manzil ki taraf tere kadam ate

 Hain raqs.e.meh tez karo,

 Saaz ki leh tez karo suye meh.khana

 Safeeran.e.haram ate hain kuch

 Humain tou nahin ehsan

 Uthaney ka dimagh woh tou jab

 Ate hain mayel be.karam ate

 Hain aur kuch der na guzrey

 Shab.e.furkat se kaho dil bhi

 Kam dukhta hai, Woh yaad bhi kam ate hain

Sunday 25 January 2015

Saari umar Udaas Rahe Gi.....



   Nanhi larki

Sahil ke itne nazdeek,,

 Rait se apna ghar na bana

Koi sarkash mauj idhar ayi,

 To

 Tere ghar ki bunyadein tak beh jayen gi,

Aur phir un ki yaad mein tu,

Saari umar udaas rahe gi.....

"Gair To Kiya Apne Liye Bhi Bekar Howe hum"


 Gair To kiya Apne liye bhi bekar howe hum

 Ek khaar k liye bhi boht khawaar howe hhum

 Jab weeran sabza zaar men Ek phool Aagiya

 To kehne lage sabhi Raqeeb khazaan Daar howe hum

 Yeh shekwe Shekayten nahi Ahwaal hai mera

 Ab Anjaan hain jin k liye Dildaar howe hum,,,

 Afsos k is ne Wafa ka paas na Rakha

 Jis k liye khud se bhi Gaddaar howe hum

Yaad Buhat Tum aye the.....


 Kal halki halki barish thi,,

 Kal sard hawa ka raqs bhi tha,,,

 Kal  phool bhi nikhray nikhray  the,,

Kal un main app ka aqs bhi tha,,

Kal badal gehray kaale the,,,

 Kal chand pe laakhon pehre the,,

Kuch tukry aap ki yaadon ke,,,

 Bari dair se dil main thehre the,,

 Kal yaadin uljhi uljhi  thien,,

 Aur kal tak yeh na suljhi thien. ..

 Kal Yaad buhat tum aye the?

 Kal Yaad buhat tum aye the.....

kiun Rakhoon...


 Kiun Rakhoon main apne Qalam main sayahi??

 Jab koi Armaan Dil Main machalta hi nahi??

 Na.Jane kiun sabhi shak karte hain mujh par??

 Jab sookha Gulab meri kitaabon main milta hi nahi??

 Kashish to Bohat  Thi mere Pyaar main??

 Magar kya karoon koi pathar Dil pighalta hi nahi??

Agar khuda mile to us se Apna pyaar mangoon ga...




Gham,e.dauran Ne Bhi Seekhey....


 Gham.e.dauran' ne bhi seekhey

 Gham.e.jana  k chalan


 Wohi sochi hui chalein

 Wohi besa khtapan

Wohi iqrar mein inkaar  k lakhon,

 Pehlu

 Wohi hon'ton pe tabasum

Wohi abaru pe shikan

Kis ko dekhaa hai k

 Pindaar.e.nazar ke baavasaf

 Ek lamhe ke liye ruk gai dil ki dharkan

 Kaun si fasl mein is baar mile hein tujh se

 Ham ko parvaah.e.gireban

 Hey na fikr.e.daman

 Ab to chubhati hai hava barf ke maidaano ki

Un dino jism ke ehasas se jalata tha badan 

"Mujhai Zindagi ne mita Diya"


 Kabhi gham ki aag main jal uthi,,,

 Kabhi Dagh.e.dil ne jala diya,,,

 Ay junoon.e.ishq bata zara,,,

 Muje Q Tamasha bana diya,,,

 Gham.e.ishq kitna ajeeb hai,,,

 Ye junoon se kitna Qareeb hai,,,

 Kabhi Ashk palkon pe Ruk gaye,,,

 Kabhi poora Darya baha diya,,,

 Abhi kar raha hai wo ibteda,,,

 Mera keh raha hai ye tajruba,,,

 Usay zindagi ki hai Aarzoo,,,

 Mujhai zindagi ne mita diya......

"Kisi b Morr pr Dekho"


    Kisi b morr pr dekho

    Juda hi hum ko hona hai

    To ao phr,,,,,

     Yahin apne aanson ko alag kr lain,,,

      Ye jitne zakhm dil par hen,,,

     Idhr meri taraf kar do,,,

    K tm aksar ye kehte ho,,,

    Ye sb meri bdolat hen,,,

    Magr thehro, Zara thehro,,

    Yahan kuch khwab b honge,,,

    Jo mil k hum ne dekha the,,,

   Suhane khwab tum rakh lo,,,

    Adhore sb mjhe de do,,,

   K meri yun b adat hai,,,

   Mjhe tooti hui chezon se

   Ik benam rughbt hai..........

  

Wo UtnaYaad Aata Raha.....


 Wo apni saari nafratein mujh pay lutata raha

 Mera dil jis ko sada mobabbatien sikhata raha

 Us ki aadat ka zara ye pehlo to dekho

 Mujh se kiay waaday wo kisi aur se nibhata raha

 Kuch khabar nahi wo shaks kya chahta tha

 K taaluq tor kar bhi mujh ko aazmata raha

 Tootay huay taaluq main bhi kitni mazbooti hai

 Dil soze mai  jitna bhulatA raha

 Wo utna yaad aata raha

Wednesday 21 January 2015

khushyon Ki Aarzo Main Muqader b So gae...


 Khushyon ki aarzo mein muqader b so gae...

 Aandhi chali kuch aisi k apne he kho gae...

 Kia khoob tha unka yeh andaz . e . mohabbat...

 Piyar dene aaye thay palken bhigo gae...

 Wo manzilen b kho gayen, wo raastay b kho gae...

 Jo aashna se log thay, wo ajnabi se ho gae...

 Na chand tha na chandni, ajeeb thi wo roshni...

 Chiraagh thay k bujh gae, naseeb thay k so gae..

 Yeh poochtay hain raastay, rukay ho kis k wastay...

 Chalo tum b ab chalo, wo mehrban b kho gae...

Best Of IQBAL...


              " IQBAl"

 Teri is duniya mein ye manzar "Q" hai?

 kahin zakham to kahin marham "Q" hai?

 Suna hai k too har zarrey mein hai rehat

 Phir zameen par kahin masjid, kahin mander "Q" hai?

 Jab rehney waaley is duniya k hain terey hi banday,,

 To phir koi kisi ka dost kisi ka Dushman "Q" hai?

 Too hi likhta hai sab logon ka muqaddar

     "Yh RAAb"

  To phir koi bad'naseeb or koi Muqadar ka sikandar "Q" hai?

Yah Haqiqat Manta Wo b Nhi main b nhi


 Galtiyon se juda wo b nhi main b nhi

 Dono insan hain, khuda wo b nhi main b nhi

 Hm dono ek dusre ko ilzam dete hain magr

 Apne ander jhankta wo b nhi mein b nhi

 Logo ne kr diya hy dono me paida ikhtelaf

 Warna fitrat ka bura wo b nhi mein b nhi

 Mukhtalif simton me dono ka safar jari raha

 Ek lemhe ko ruka wo b nhi mein b nhi

 Chahte donu hen aik dosry ko

 Magar

 Yah haqiqat manta wo b nhi main b nhi....

"Kisi Roz Shaam K Waqt"


  Kisi roz shaam k waqt

   Soraj k araam k waqt

   Mil jaye sath tera

   Hath men le k hath tera

   Door kahien tanhai men

  Dunya se judai men

   Apny sang bithaon tujy

   Dil ka haal sunaon tujy

  Teri izzat ehtraam karon

  Tere hathon ki lakiron men

  Talash apna naam karon

  Aao ik irada krain

  Phir milne ka wada krain

  Kisi roz shaam k waqt

  Soraj k araam k waqt

Thursday 15 January 2015

Dard ki Sihaee se likha Ye mera Naseeb tha....


 Dard ki sihaee se likha ye mera naseeb tha

 Bik gai meri mohabbat Q ke mein ghareeb thi..

 Pal bhar ko to hum bhi na sanbhal paye they

 Guzar jo hum pr wo haadsa bara ajeeb tha

 Tamam umar zindagi  samjh ke jise chaha

 Akhir safar me bhi na wo dil ke kareeb tha

 Khushian bant'ti rahi me sb se zindagi  ki

 Ab ghum ke andheron me na koi shareek tha

 Dil, Dunita, sb pathar k hain

 Pooja tha ek piyar ko, nikla wo b fareb tha

"Ussay Keh Dou"


 "Ussay keh dou"

 Ussay keh dou

 Kay woh mujh ko

 Ronay say mat rokay.....

 Bikhray huwoon ko

 Toofan sanbhala nahi kartay

 Ab mehar banion ki

 Tumhari Tamana nahi humko...

 Barastay huway baadli

 Kabhi ujala nahi kartay...

 Mat Qareeb aao meray

 Mujhe bas younhi rehnay do....

 Tootay huway paimanay

 Main jaam dala nahi kartay...

 Mat sunao logoon ko

 Meri barbaadi ka Qissa...

 Kissi kay dil kay zakhmoon ko

 Younh uchala nahi kartay

Toot Kar ki Hai to Sirf Usi Se Mohabbat ki hai....


 Maine kab dard k zakhmon se shikayat ki hai

 Haan mera jurm hai k maine mohabbat  ki hai

 Aaj phir dekha hai usy mehfil main pathar ban kar

 Maine Aankhon se nahi dil se baghawat ki hai

 Unko bhool jane ki ghalti bhi nahi kar sakta

 Toot kar ki hai to sirf usi se mohabbat  ki hai.....

Wednesday 14 January 2015

"Yah Aarazu hai k Jab Bhi Gale Lagaauun Use"


 Yah aarazu hai k jab bhi gale lagaauun use

 Hisaar.e.zaat se baahar nikaal laauun use

 Wo jal raha thaa kari dhuup ki tamaazat mein

 Milaa jo ab to ohrhaa duungaa apni chaa'onn usey

 Ye ishq bhi hai ajab imtihaan.e.ahad.e.wafaa

 Wo aazamaaye mujhe aur main aazamaauun use

 Wo shahar shahar chiraageen sahi magar ek din

 Hawaayein yaad dilaayeingi apnaa gaana usey

 Wo apne khuwaab mein shaayad mujhii ko dekhta ho

 Main tashnaa lab sahi sote mein kyaa jagaauun use

Saza Pe Chor Diya Jaza pe Chor Diya...


 Saza pe chor diya Jaza pe chor diya

 Har ek kam hum ne khuda pe chor diya

 Woh hum ko yad rahkta ya bhula deta

 Usi ka kaam tha usi ki Raza pe chor diya

 Us ki Marzi bujha de ya Phir jala rakhe

 Cheragh hum ne jala kar hawa pe chor diya

 Us se baat bhi karte tu kis tarhan karte

 Yah masal Dua ka tha Dua pe chor diya

 Iss liye tu woh kehte hain Bewafa hum ko

 Ke hum ne sara zamana wafa pe chor diya


"Aj Khoya hua ik Dost Bohat Yaad aya"


 Aj khoya hua ik dost bohat yaad aya

 Acha Guzar hua waqt bohat  yad aya

 Meri aankh her ansu pe rone wala

 Aj jab aankh yeh roi to bohat yad aya

 Jo mere dard ko seene mein chupa leta tha

 Aj jab dard hua mujhe to bohat yaad aya

 Jo meri aankh mein kajal ki tarah rehta tha

Aj kajal jo lagaya to bohat yaad aya

 Jo mere dil tha qareeb faqat usko hi

 Aj jab dil ne bulaya to bohat yaad aya

Kisi Se Bhi Milna, Usay Jeet lena....


 Miley har Qadam Pay Rafaqat Tumhari

 Kahan Hum Kahan Yeh Inayat Tumhari

 Humein Chahiye Bas Taluq Tumhara

 Mohabbat Miley ya Adawat  Tumhari

 Kisi se bhi Milna, Usay Jeet Lena

 Barri Dil Nasheen hai Yeh Adat Tumhari

 Na Dekha Jahan Main Aur Koi Tumsa

 Barri Munfarid Hai Tabiyat Tumhari

 Humein Zindagi k kathan Raston mein

Hemesha Rahay gi Zarurat Tumhari! !!

Kaise Woh lot Aye Ke Fursat Usse Nahin...


 Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin

 Duniya samajh rahi  hai mohabbat usse nahin

 Lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main

 Kafi dinon se mujh se shikayet usse nahin

 Dil ki zameen us ki hai banjar issi liye

 Jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahin

 Her cheez ikhyiat main rakhta hai woh magar

 Dil se rehai pane pe qudrat usse nahin

"Dil Mein Ab Dard.e.mohabbat k Siwa kuch bhi nahin"


 Dil mein ab dard.e.mohabbat k siwa kuch bhi nahin

 Zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin

 Mein teri baat bargah.e.naaz mein kia paish keron

 Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin

 Aey khudh mujh say na lay meray gunahon ka hissab

 Meray paas ashk.e.nidamat k siwa kuch bhi nahin

 Woh tou mit ker mujhey mil hi gayi rahat werna

 Zindagi ranj.o.musibat k siva kuch bhi nahin

"To Koi Baat Nahi"


 Yah wafa ka silaah hai, To koi bat nahi

 Yah dard tum ne diya hai, to koi bat nahi

 Yehi bohot hai ke tum dekhte ho

 Sahil se safeena doob raha hai, To koi bat nahi

 Rakha tha Aashiyana.e.dil mai chupa ke tum ko

 Woh ghar tumne chor diya hai, To koi bat nahi

 Tum hi ne aayena.e.dil mera banaya tha

 Tum hi ne tod diya hai, To koi bat nahi

 Kis kii majaal kaha koi mujh ko deewana

 Agar yeh tumne kaha hai, To koi bat nahi

"Barisho'n k Mousam Main"


 Yaadai'n jaag jati hyn

 Barisho'n k mausam main

 Har ghari satati hyn

 Barisho'n k mausam main

 Shaambhi kisi surat chain se nahi kat'ti

 Subhai'n bhi satati hyn

 Barisho'n k mousam

 Zehen k jharokey main

 Jab koi sada ubhrey

 Aankhai'n bheeg jati hyn

 Barisho'n k mausam main

Tuesday 13 January 2015

Halqa.e.Ehbaab Tha Mera...


Bohat mehdood saa ek

Halqa.e.Ehbaab tha mera

Faqat mastiyan,,

Shetaniyan,,

Nadaaniyan,,

Aur main....

Abhi bhi halqa.e.Ehbaab

Mehdood  hai mera,,

Faqat,,,

Khamoshi'yan,,

Tanhaai'yan,,

Udasi'yan,,

Aur  main....

"Rishty Yaad Rakhta hon"


Main logon se mulaqaton k lamhe yaad rakhta hon..

Main batain bhool b jaon to Lehjay yaad rakhta hon..

Sar.e.Mehfil Nigahain mujpe jin logo ki parti gain..

Nigahon k Hawaly se wo chehry yaad  rakgta hon..

Zara sa hatt k chalta hon Zamany ki riwayat se..

K  jin pe bojh Main dalon wo Kandhy yaad rakhta hon..

Dosti jis se ki us say nibhaon ga jee jaan se...

K main Dosti k Hawaly se Rishtay Yaad Rakhta hon...

"Hans kar dekh Liya"


   Hans kar dekh liya

   Ro kar bhi dekh liya

   Kisi ko pa ke kho kar bhi dekh liya

   Pyar b kiya or samajh b liya

  Zindagi wohi G sakta hai

  Jisne Akele jeena sekh liya..

Top 4

Aik bar aaoo Mery Dil me

Apny maqaam dekhny

Phir lootny ka irada

Hum tum par chor dain gay...

      ___________________________

Sara sheher meri dewangi sy Waakif raha

          Magar

Ek us ke he Aankhon sy Be'Aitbaari na Gae...

         ______________________________

Ghalti humse na.jane kahan hogai

Log aese bhool bethe jese jaante hi nahi...

       ____________________________________

Unki na thi khata, Hum hi kuch galt samjh bethy

          Mohsin

Wo mohabbat sy baat krty thy

Hum mohabbat hi samjh bethy...

        _______________________________________

"Hum Saari Raat Haath Utha Utha k Roye"

Kabhi Aansu chupa chupa k Roye

Kabhi Daastan.e.Gham suna k Roye

Raat katti hai intzar.e.Yaar me

Hum Raat bhar Taaron ko jaga jaga k Roye

Phir Wo N Aaye Raat ka wada kar k

Hum Tamam Raat shama jala jala k Roye

Aaj Raat un k Aane ki umeed thi Humen

Wo N Aaye Hum Ghar ko saja saja k Roye

Suna hai "Wasi" Dua se hoti hai murad poori

Hum Saari Raat Haath Utha Utha k Roye....

Barish Ka Mousam Kuch Yaad Dilata Hai....

Barish ka mousam kuch yaad dilata hai

kisi kay saath honay ka Ehsaas dilata hai

Fiza bhi sard hai yaadain bhi tezza hai

yeh mosam kisi ka pyar dil main jagata hai

bheegi hoye raatain khamosh si Baatain

Aisay main kuch kaho tu her Lafz madhem ho jata hai

Barsat ki hain bobdai , bondon may hai Khushbo

Ye lumha tu Dil ka Ehsaas chuu jata hai

Aisay main Tum bhi keh do dil ki baat

Ye mousam tu pal bhar main beet jata hai...

"Mar Gaya Chup Chaap"



  Main raiza raiza hawa

  Main bikhar gaya chup chaap

  Teray firaaq ka mausam

  Guzar gaya chup chaap

  Kisi nay kaan naa

  Meri sada.e.dil pay dharay

  Meray wajood main ek shakhs

  Mar gaya chup chaap

Loug kiun Jashn Manaane Aaye....

Teri baatein bataane aaye

Doust bhi dil hi dukhaane aaye

Phuul khilte hain tou hum souchte hain

Tera aaney ke zamaaney aaye

Aisi chup si lagi hai jese

Hum tujhe haal sunaane aaye

ishq tanhaa hai sar e manzil e ghhumm

Kaun yeh boujh uthaane aaye

Ub tou rouney se bhi dil dukhta hai

Shaayad ub housh thikaane aaye

kya kaheen phir koyi basti ujjrhi

Loug kiun jashn manaane aaye....

Aankhain Khuli Rahain Gi...


  Aankhain khuli rahain gi

  Toh manzar bhi ayengai

  Zinda hai dil toh aur

   Sitamgarr bhi ayengai

  Pehchaan lo tamaam

  Tamaam faqeeron kay

  Khadd.o.khaal

  Kuch log shab ko

  Bhais badal kar bhi ayengai

  Gehri khamosh jheel kay

  Paani ko yun na chaidh

  Cheenthay uday to

  Meri qabar par bhi ayengai.....

"Veeran hai December"


    Batao zara kon si

    Bahaar le ke aaya hai

        January

     Tum sab kehte thay

     Ke bohat veeran hai

           December

Guzarti Meri Hr Sham Thi..

Apki chaht me Guzarti meri hr sham thi

Mere dil se nikli hui hr Dua apky naam thi

Ab mujhko ilzam na do Bewafai ka

Mere hathon ki lekeron me wafa aam thi

Qadar pocho us se jo krte hain Mohabbat ki poja

Sirf apky sheher me mohabbat meri badnam thi

Apni jan ka nazrana kese karte paish ap ko

Apky ishq me hr sans jo meri nelam thi

Kaise chor dete tnha zindagi k safar me

Apky baghair to meri zindagi Gumnam thi...

Wednesday 7 January 2015

Be'Khabar...

   Be'Khabar

    Be'Wajah

   Be'Rukhi

   Naa kiya kar

   Main bohat toot jati hoon

   Tera lehja badalne se....

"Suno Tum Yaad Aate ho"

  Chalo tum Raaz ho apna

   Tumhein afsha nahi karte,,,

   Suno jisko chaha jaye

   Usey chora nahi karte,,,

   Jisey shaffaf rakhna ho

   Usey meela nahi karte,,,

   Jo bas jate hai Dharkan main

   Usey bhoola nahi karte,,,

   Kisi ko dil deta waqt

   bohat socha nahi karte,,,

   Jo pehle say hi tanha ho

   Usey tanha nahi karte,,,

   Suno yaadein satayen gi

   Magar roya nahi karte,,,

   Suno tum yaad aate ho

   Aur

   Hum soya nahi karte......

  

Kisi ko yaad Aayenge....

     Kisi Din hum b

     Guzra howa kal ban jayenge,,

      Mohsin

      Pehle har roz kisi ko,,,

      Phir kabi kabi kisi ko,,,

      Phir kabi na kabi,,,

      Phir kabi na kisi ko Yaad Aayenge....

     

"Kuch Dost Boht Yad Aate Hain"

Jab yad ka qissa kholun to...

Kuch dost boht yad aate hain...

Main guzre pal jo sochon to...

Kuch dost boht yad aate hain...

Ab janay konsi nagri me abad hain jaker muddat se...

Me rat gae tak jagoon to...

Kuch dost boht yad aate hain...

Kuch batein thi phulon jesi

Kuch lehjay khushbo jesy thy...

Me sheher.e.chaman me tehloon to...

Kuch dost boht yad aty hain...

Wo pal bhar ki narazgyan or maan b jana pal bhar main...

Ab khud se jab b rothun to...

Kuch dost boht yad aty hen.....

Udas Q ho.......

Haseen rutt me gulab chehry,,,

Hamen batao udas Q ho?

Dilon pe beeti hui kahani,,

Mujhe sunao Udas Q ho?

Jo ranjishen dil me pal rahi hn,,,

Munafqat me jo dhal rahi hn,,

Bhula k shikwy mita k doori,,,

Galay lagao udas Q ho?

Kitab.e.dil k har safhay pe,,,

Likha hay hum ne lafz mohabbat, ,,

Hamein hamari wafa k badlay saza sunao,,,

Udas Q ho?

Fareb kahan b mashghala hy

Fareb dena b mashghala hy,,,

To dil k lutne pe kasa maatam,,

Khushi manao Udas Q ho....

Kr k khafa Mujhko Manana bhol jata hai,,,,

Udaas shamon me lot kr wo aana bhol jata hai,,

Kr k khafa mujhko manana bhol jata hai,,,

Inhi Aaditoon ne uski mujhe badnam kr dala,,,

Wo likh k naam dewaron pe mitana bhol jata hai,,,

Mat pocho mohabbat mai laa parwahi uski,,,

Dy k zakham wo marham lagana bhol jata hai,,,


Thursday 1 January 2015

Suna Hy Saal Badlay Ga...

    Nateeja phir wohi hoga

    Suna hy saal badlay ga

    Parindy phir wohi hongy

     Shikaari jaalbadlay ga

     Badlna hy to din badlo

     Badlty kyun ho hindsy ko

     Maheeny phir wohi hongy

     Suna hy saal badlay ga

     Wohi hakim, Wohi ghurbt,

     Wohi Qatil, Wohi ghasib

     Bataao kitny saalon main,,

     Hmara haal badle ga???

Shikwa

        "Shikwa"

        "December"

 Hosh kar pagal ye tujh ko kia huwa akher???

 Bina barsy chaly jana teri adat na the pehly??

          "Jwab.e.Shikwa"

 December

 Ibne adam to nahi jo tevar badly ga,,

 Zara toty dilon me jhank k dekho

 December khob barsa hai.....

"NAIY SAL SE PEHLE PEHLE"

     Zara sa muskura dena

     Naiy sal se pehle pehle

     Hr ek ghum ko bhula dena,,

      Naiy sal se pehle pehle

      Na socho k kis kis ne dil dukhaya

      Hum ko maaf kr dena

      Naiy sal se pehle pehly

      Kya pta phir moqa na mil paye apko

      Is liye dil ko saaf kr lena

      Naiy sal sr pehle pehle

      Ho sakta he hm rahain na rahain

      Is liye dety hain naiy sal ki Mubarakbad

         Nayi sal se pehle pehle.....