Thursday, 29 January 2015

"Koi Mujh se itna khafa q hai "


Koi mujh se itna khafa q hai,

Ye naraazgi be.wajah q hai,

Kiya phir ho gai mujh se hi koi khata,

Ye dil itna qadar darte q hai,,

Wo rooth jaata hai mujh se ajnabiyon ki tarah,

Phir b apna sa lagta q hai,

Mujhe manaane ka fun aata nahin,

Jaanta hai to phr wo mujh sy rootha q hai....

Tuesday, 27 January 2015

lambi umar....


Apno k ghar chal rhi thi

Mery Qatal ki sazish

Jo hum pohnchay Achanak

To muskara k bole

Apki umar kitni lambi hai.

"Sar.e.aam milen gy"


Her shaam kehty ho kal shaam milen gy

Kyun aati nahi wo shaam jis shaam milen gy

Youn acha nahi lagta ye shaam'on ka Badalna

Kal shaam bhi kaha tha k kal shaam milen gy

Aati hai jo milny ki gharhi karty ho bahana

Youn milna acha nahi kisi kaam sy milen gy

Ye raah.e.mohabbat hai yahaan chalna aasaan nahi

Ungli bhi uthay gi yahaan ilzaam milen gy

Umeed hai woh din bhi aaye ga

Subah shaam milen gy

Sar.e.aam milen gy

"Hum Tum bin adhure hain"


 Bohat majbur hain hamdam

Na itna yaad aao tum,

Na yun itna sataoo tum,

k itna yaad aa kr yun,

Hamen pagal bana k tum,

Faqat itna bata do k,

Hamari jaan lo ge kya?

Magar ye bhi haqeeqat hai,

Tumhari yaad hi to hai,

Jo har pal sath rehti hai,

Khushi meni bhi,

Ghamon mein bhi,

Udasi k palon mein bhi,

Tumhari yaad hi to hai,

Jo har pal ye batati hai,

Mujhe ehsas dilati hai,

K

Hum tum bin adhure hain,

k

Hum tum se hi pure han....

Monday, 26 January 2015

"Sitaaroun Se Aage Jahaan aur bhi hain "


Sitaaroun se aage jahaan aur bhi hain

Abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain

Tu shahin hai parwaaz hai kaam tera

Tere saamne aasmaan aur bhi hain

Isi roz.o.shab mein ulajh kar na reh jaa

Key tere zamin.o.makaan aur bhi hain

Gae din key tanha tha main anjuman main

Yahan ab mere raazadaan aur bhi hain....

Us Ka Malaal kya karna....


Bichar gaya hai jo ab

Us ka malaal kya karna

Ab us ki yaad mein jeena

Muhaal kya karna

Main janta hoon ke

Wo bewafa na maaney ga

Wohi jawab miley ga

Sawal kya karna

Tu hijar  de gaya aur

Pyar ko bhula betha

Woh bewafa  tha ab

Us k khayal kya karna

Usey bhulana hi

Teri bhalayi hai,

Dil.e.tabaah ko ab

Hasta haal kya karna......

Hanste Huye Logon Ko Rulaya Nahi Karte....


 Hanste huye logon ko rulaya nahi karte,

 Hum apna koi zakham dikhaya nahi karta,

 Ik bar jisy apni nigahon se gira dain,,

Phir us ko kabhi dil mein basaya nahin karte,

Us sakhs se mil kar mujhe ehsas hua hai,,

Jo pairr barre hote hain saaya nahi karte,,

Rakhte hain unhe hum sadaa seeney se laga kar,,

Dukh apna kisi ko bhi sunaya nahi karte,,,

Yeh khel mohabbat  ka hai phir soch lo,

Kho dete hain yadan sab kuch paaya nahi karte.....