Sitaaroun se aage jahaan aur bhi hain
Abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain
Tu shahin hai parwaaz hai kaam tera
Tere saamne aasmaan aur bhi hain
Isi roz.o.shab mein ulajh kar na reh jaa
Key tere zamin.o.makaan aur bhi hain
Gae din key tanha tha main anjuman main
Yahan ab mere raazadaan aur bhi hain....
No comments:
Post a Comment