Monday 29 December 2014

"SaZzA"

Yun tanhai main khud ko sazza dety hain

naam likhty hain us ka or likh k mitta dety hain

jub bhe koi nakam muhabbat ka zikar kary

log hansty hain mera naam btta dety hain

ab khushi ki koi tarqeeb na sojhay

ab yeh aAlam hay k ghum maza dety hain

kya zarort hay k dety ho khud ko yeh zehmat

lo hum khud hi nasheemaan ko jala dety hain

ab tasli nahi di jati mareez e ghum ko

dekhny waly bhee ab marnay ki dua dety hain.

No comments:

Post a Comment