Monday, 15 December 2014

kyon nahin ata....

Jo mausam beet jata hai

Dobara kyon nahin ata

kahin se laut ker bachpan

Humara kyon nahin ata

Yahan aney ko to har din

kisi ke saath ata hai

jesay is dil ne rah rah kar

pukara kyon nahin ata

wo jis ki lo mohabbat ki

jabeen ka istara thi

To phir rastay mai  hamary wo

roshan sitara kyon nahin ata

Bohat heart hai ab bagon mein

jab kalian chataktin hain

Humary dehyan mein lehja

Tumhara kyon nahin ata

Kabhi phelay hoay pairon se

jb kirnein jhalakty hain

Tasawur main un ankhoon ka

Ishara kyon nahin ata

Bhatakta phir raha hoon din ke

Is weran jangal mein

mehakti sham ka rangeen

kinara kyon nahin ata.....

No comments:

Post a Comment