Sunday 25 January 2015

"Mujhai Zindagi ne mita Diya"


 Kabhi gham ki aag main jal uthi,,,

 Kabhi Dagh.e.dil ne jala diya,,,

 Ay junoon.e.ishq bata zara,,,

 Muje Q Tamasha bana diya,,,

 Gham.e.ishq kitna ajeeb hai,,,

 Ye junoon se kitna Qareeb hai,,,

 Kabhi Ashk palkon pe Ruk gaye,,,

 Kabhi poora Darya baha diya,,,

 Abhi kar raha hai wo ibteda,,,

 Mera keh raha hai ye tajruba,,,

 Usay zindagi ki hai Aarzoo,,,

 Mujhai zindagi ne mita diya......

No comments:

Post a Comment